X

WordPress Blog Me WhatsApp Share Button Kaise Add Kare

Blog me share buttons add karne se aap apni website ka traffic rank increase kar sakte hai, isse visitors ko help milti hai aapki post ko apne dosto ke sath share karne me, isliye aaj hum janenge ki apni website me whatsapp share button kaise add karte hai.

WhatsApp Share Button Add Karne Ke Fayde

Agar aapka blog ya website hai to aapko apne blog par share buttons jarur add karne chahiye, isse fayda ye hoga ki jab bhi visitors ko humari post pasand aaye aur vo usse share karna chahe to share buttons ke through badi aasaani se share kar sakta hai.

Blog ki traffic badhane ka ye ek bahut badhiya tarika hai, to agar aapne abhi tak apne blog par share button add nahi kiya hai hai to pehle AddToAnny buttons add kare, aur whatsapp share button kaise lagaye iske liye niche diye steps ko follow kare.

WordPress Blog Me WhatsApp Share Button Kaise Add Karte Hai

AddToAny Share Buttons plugins ki help se whatsapp share button kaise lagate hai, step by step janate hai.

 

Step 1

Sabse pehle wordpress me login kare.

  1. Plugins me jaye.
  2. Add New par click kare.

 

??Blog Me Twitter Widget Kaise Add Kare

Step 2

Ab next window me bahut sare plugins show honge, inme se “AddToAny Share Buttons” install karna hai.

  1. Top rightside me search box me AddToAnny Share buttons search kare.
  2. Search karte hi top me “AddToAny pluggins” show hoga, isse install karke active kar dijiye.

 

Step 3

Iske baad wapas wordpress dashboard me plugins open kare.

  1. Plugins me jaye.
  2. Installed Plugins par click kare.
  3. AddToAnny plugins ke niche settings link par click kare.

 

 

Step 4

Ab next window me AddToAnny share settings page open hoga.

  1. Standard tab me jaye.
  2. Add/Remove Services par click kare.

 

Step 5

Add/Remove Services par click karte hi aapko bahut sare share button show honge, isme WhatsApp button par click kare.

 

Thoda sa dropdown kare aur bottom side me Save Changes button par click kare.

 

Lijiye dosto apki website par WhatsApp share button add ho gaya hai, issi tarah se aap other social sharing buttons ko bhi add kar sakte hai, niche image dekhe.

 

Dosto whatsapp share button ko apni website me add karne ki ye jaankari aapko kaisi lagi apne comment ke through feedback jarur de.

Humare facebook page ko like karne ke liye iss link par click kare.

Aur agar aapka iss article se related koi saval hai to comment kar ke puch sakte hai, aur post acchi lagi ho to isse niche diye share button ki help se apne dosto ke sath share karna bilkul na bhule.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)