Google par apne name ka search engine page kaise banaye iss post me hum janenge so agar aap google search page ka old interface dekhte huye bore ho gaye hai aur ab isse change karna chahte hai to ab aap easily google search page me apna name add kar sakte hai, background badal sakte hai.
Duniya bhar me log kuch bhi search karne ke liye google search engine ka use karte hai, aur aap bhi online searching ke liye google search ka use jarur karte honge aise me agar aap google search page ka vahi old interface dekhkar boring feel karte hai to ab aap isse easily change kar sakte hai.
Kyuki google ne ab ek new feature add kiya hai jiske through users apne khud ke name se search page ko badal sakte hai ek naya look google search page ko de sakte hai, iske liye aapko goglogo.com ki site open karni hai aur registration karna hai, kaise karna hai aaiye step by step janate hai.
Google Par Apne Name Ka Search Engine Page Kaise Banaye
1 Sabse pehle Goglogo.com site open kare.
2 Iske baad next interface open hoga usme;
- Enter your name here.. ke box me apna Name enter kare.
- Create my search page now option par click kare.
3 Ab next interface me aapke name ka search page open hoga yahapar;
- Top side me Set as home page option par click kare.
- Ab ek popup window open hogi usme sabse niche diya gaya URL copy kare.
- Iske baad top right corner me Menu icon par click kare.
- Settings option par click kare.
- Appearance option par click kare.
- Ab Show home button option ko enable kare.
- Iske baad Enter custom web address option ko select karke isme Copied URL paste kare.
- Finally setting save karne ke liye Ok option par click kar dijiye.
Iss tarah se easily aap google search page ka interface apne according change kar sakte hai apne name ka google search page create kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google par apne name se search page create kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.