Aadhar Kis Number Se Link Hai Kaise Pata Kare – Which Phone Number Is Registered with Aadhar Card
Aadhar kis number se link hai kaise pata kare iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap ek se jyada phone numbers use kar rahe hai ya aap kai baar apna mobile number change kar chuke hai aur aapko dhyan nahi hai aapke aadhar card se aapka kaun sa mobile number link hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.
Agar aap pata karna chahte hai ki aapke aadhar card se aapka kaunsa phone number link hai to iss video me jo process mein aapko batane wala hu iske through aap easily apne aadhar card ke registered mobile number ko check kar sakte hai, yahi nahi aapko ye bhi pata chal jayega ki aapka phone number aadhar se linked hai ya nahi, puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.
- Mobile Se Call Karke Aadhar Card Verification Kaise Kare
- Voter Id Card Me Online Correction Kaise kare
Aadhar Kis Number Se Link Hai Kaise Pata Kare – Which Phone Number Is Registered with Aadhar Card
1 Sabse pehle Aadhar card ki Official website open kare.
2 Ab next interface me Aadhar services section Verify an aadhar number option par click kare.
3 Iske baad next interface me Aadhar number aur captcha verification options aayenge to yahapar:-
- Aadhar number ki field me apna 12 digits ka aadhar card number enter kare.
- Captcha verification ki field me diya gaya captcha code enter kare
- Iske baad Proceed to verify option par click kare.
Ab next interface me aapke aadhar card ki detail aapke samne show ho jayegi, jaise ki aapki age group, gender, state aur 10 digits ka mobile number yahapar aapko show ho jayega.
Aur agar aapka mobile number aapke aadhar card se link nahi hai to vo aapko yahapar show nahi hoga, sirf age group, gender aur state hi yahapar dikhayega.
Iss tarike se aap easily check kar sakte hai ki aadhar card mobile number se linked hai ya nahi aur agar link hai to kis number se link hai ye aapko pata chal jayega.
I hope, aadhar kis number se link hai kaise pata karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe