GOOGLE

Google Chrome Ki 3 Ultimate Hidden Tips & Tricks and Settings Sikhe

Google chrome ki 3 ultimate hidden tips & tricks and settings ki jankari iss post me mein aapke sath share kar raha hu aur ye teeno hi chrome secret features aapko pata hone chahiye agar aap google chrome ka use karte hai aur apne chrome user experience ko aur bhi better banana chahte hai.

Chrome aajkal sabhi smartphone me available hota hai aur google chrome me users ko bahut se useful hidden settings milti hai lekin mostly user inn secret features ke bare me nahi janate hai, iss post me jo 3 advanced secret settings mein aapko bataunga vo aapke liye kafi jyada useful hone wali hai.

Isliye iss post ko end tak jarur padhe aur bataye gayi secret features ko use karne ke liye niche diye gaye easy steps ko follow bhi jarur kare, to chaliye start karte hai aur janate hai google chrome ki 3 advanced secret tips and tricks aur settings ke bare me.

Google Chrome Ki 3 Ultimate Hidden Tips & Tricks and Settings Sikhe

Use Handwrite to Search

1 Sabse pehle Google chrome open kare.

2 Iske baad top left corner me 3 lines par click kare.

3 Ab kuch options aayenge to inme Settings option par click kare.

4 Settings page me Handwrite option bydefault disable hoga to isse Enable kar dijiye.

Iske baad aap google chrome open karke aur fir search option par click karke apni mobile screen par kuch draw kar likh sakte hai aur jo kuch bhi aap fingers ki help se likhenge uss content ko search kar sakte hai.

Take a Scrolling Screenshot

1 Google chrome open karke top right corner me 3 vertical dots par click kare.

2 Iske baad kuch aur options aayenge to inme Share option par click kare.

3 Ab bottom side se ek popup open hoga isme Long screenshot option par click kare.

4 Iske baad webpage ka top portion select ho jayega to selected area ke bottom side me Cursor option ko select karke niche ki taraf drag kare.

5 Webpage ko bottom side tak scroll karke select karne ke baad bottom right corner me Tick mark icon par click kare.

6 Iske baad top right corner me Next option par click kare.

  • Share this screenshot option par click karke iss screenshot ko kisi ke sath share kar sakte hai
  • Save to device only option par click karke apni mobile gallery me save kar sakte hai.
  • Delete option par click karke delete bhi kar sakte hai.

Iss tarah se aap koi bhi website open karke kisi bhi webpage ka top se lekar bottom side tak screen hd quality me le sakte hai.

Open Mobile Gallary with Chrome

1 Sabse pehle Google chrome open kare.

2 Ab top side me URL bar me niche diya link open kare.

Open karte hi aapke mobile ka file manager open ho jayega ab aap kisi bhi folder ko open kar sakte hai android folder ko open karke mobile gallery ki koi bhi photo video dekh sakte hai or whatsapp media ko bhi aap yaha se access kar sakte hai.

Iss trick ka use aap tab kar sakte hai jab aapne gallery me lock lagaya ho aur kisi vajah se aap unlock nahi kar paa rahe ho aise me iss trick se instantly mobile gallery open kar sakte hai, iske liye mobile data ko on karne ki jarurat bhi nahi padegi.

I hope google chrome ki ye teeno hi tricks aapko helpful lagi hogi agar aapko ye jankari pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.