X
    Categories: TWITTER

Twitter Par 140 Character Se Jyada Tall Tweets Kaise Kare

Twitter ek micro blogging social media site hai, aur facebook ke baad twitter duniya ki top popular social networking platform hai. Aur aaj mein aapko batane jaa raha hu ki twitter par 140 character se jyada tall tweets kaise karte hai.

Aap twitter par ek baar me 140 characters se jyada tall tweets nahi kar sakte hai. Kyuki iss platform par tweet post karne ki limit maximum 140 characters hai. Message ke sath link aur image bhi share kar sakte hai.

Issi vajah se log twitter par apne pure SMS ko 140 characters me short karke post karte hai. Lekin ab aap tall tweets ki help se jyada lambe tweets kar payenge. To chaliye ab aapka jyada samay naa lete huye step by step janate hai ki kya karna hai.

 

Twitter Par 140 Character Se Jyada Tall Tweets Kaise Kare

 

Step 1

Sabse pehle Tall Tweets ki site par jaye, aur Sign in with Twitter button par click kare.

 

 

Step 2

Ab next page me apne twitter account aur tall tweets authorization enable karna hai.

  1. Apna twitter username aur password enter kare.
  2. Authorize app button par click kare.

 

 

Step 3

Next page me aap twitter par redirect ho jayege, yaha par 140 se jyada character enter kijiye.

  1. Box me 140 characters se jyada bade tweets ko type kare.
  2. Tweetstorm (text) ke tick box me tick kare.
  3. Tweet button par click kare.

 

 

Step 4

Jaise hi aap tweet button par click karenge, aapka 140 characters se lamba tweet twitter par post ho jayega.

Upar image me aap dekh sakte hai ki tweet do alag alag part me post hua hai. Issi tarah agar aapka tweet 2 ya usse bhi jyada part me twitter par post hoga. Ye aapke tweets par depend karta hai ki usme kitne characters hai.

 

I hope, aapko twitter par 14o character se jyada tall tweets post karne ki ye jaankari pasand aayi hogi. Agar aapka iss post se related koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur post helpful lagi ho to isse apne dosto ke sath social media par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (4)

  • sir mane ek blog banaye tha vo ki mane delete kardiya hai. delete hua blog ka name http://www.nackinc.blogspot.com hai abb mane ek new website banaye http://www.nackinc.com sir jab mein isse search karta hu toh without www or .com ke nackinc toh delete hua vale blogspot search mein pahele aata hai.sir mujhe yeh bataye ki mein delete hua vale ke link kase remove karu. jisse ki new website pahele show ho

    Sir plzzzzz. Bataye

    • aap new website me apni post karte rahiye old wali automatically kuch dino ke baad remove ho jayegi.

  • Bhai humne tallteet par lambaa messege show karne ki bahot koshish ki parntu messge show ho nahin pa raha please helpme

    • message ek sath alag alag parts me show hoga, upar diye steps ke according try kijiye.