X
    Categories: GOOGLE

Google Account Ko Delete Kaise Kare Hindi Tutorial

Hello friends, meine pichli post me aapko bataya tha ki google me account kaise banate hai. Lekin aaj iska apposite yani ki google account ko delete kaise kare, iske bare me janenge.

Ek baar aapne apna google account delete kar diya to iske sath youtube, google drive, google calender, google play ityadi google services bhi disable ho jayegi. Isliye google account ko disable karne se pehle apna backup jarur le lijiye.

Google Account Ko Delete Kaise kare aur Kyu Kare

Apna google account ko remove karne ke liye aapke kai reason ho sakte hai, jaise aapke paas dusra google account hai aur aap iss account ko use nahi karna chahte.

Aap apni google post aur photos ko delete karna chahte hai, ya phir aapka apna other reason bhi ho sakta hai. Karan chahe jo bhi ho aaiye step by step janate hai ki apna google account ko band kaise karte hai.

Google Account Ko Delete Kaise Kare / How to Delete Google Account

 

Step 1

Sabse pehle apne google account me login kare.

  1. Left site menu se Setting par click kare.
  2. Thoda scroll down kare aur bottom side me Delete Your Google+ Profile link par click kare.

 

Step 2

Ab next window me apna password re-enter karke Sign in button par click kare.

 

Step 3

Sign in karte hi next page me same ID se related aapke sabhi google account show honge. Scroll down karke bottom me jaye.

  1. Dono tick boxes me tick kare.
  2. Delete ke button par click kare.

 

Step 4

Ab next window me apne google account ko delete karne ka reason select kare.

  1. Kisi bhi ek reason par tick kare.
  2. Submit button par click kare.

 

Lijiye submit button par click karte hi ab aapka google account delete ho chuka hai.

Ye Bhi Padhe

 

Google account ko delete kaise kare ab aap jaan gaye hai. Iss article se related agar aapka koi saval hai to apne comment ke dwara puch sakte hai. Aur agar ye post aapko helpful lagi ho to isse social media par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)

  • Dear sir
    Mai 1ek Purana phone use Kar raha jisme pahle se gmail bana hua hai aur mai apna banana chahta hu

    • to aap pehle se logged in hue gmail ko log out kar dijiye aur apni id create karke login kijiye