ANDROIDGOOGLE

Apne Mobile Phone Data Ko Delete Kaise Kare

Hello friends, mobile phone chori hone ya kho jane par hum uska sara data remotely erase kar sakte hai. Agar aap nahi janate hai to aaj mein aapko bataunga ki kaise aap apne mobile phone data ko delete kaise kare.

Mobile (android) phone ko aap mini computer bhi bol sakte hai, log apni personal details, files, photo, documents, video aadi ko apne smart phone me save karte hai. Aur jarurat padne par unka use karte hai. Aise me agar aapka phone chori ho jaye to aapko sabse jyada fikr apne mobile data ki hoti hai.

Aur aise me koi aapke smartphone ke personal data ka galat use kar sakta hai. Don’t worry google ke paas iska solution available hai. Remote access ke dwara aap apne khoye huye mobile ka all data erase kar sakte hai. Apne phone ka personal data remove kaise kare, iske liye niche diye steps follow kare.

Chori Hone Ya Kho Jane Par Mobile Phone Data Ko Delete Kaise Kare

 

Step 1

Sabse pehle google ke device manager link me jaye. Iss link par click karte hi kuch hi der me aapka phone track ho jayega.

Mobile Phone Data Ko Delete Kaise Kare

  1. Apne android phone ka model number check kar lijiye.
  2. Erase par click kare.

 

 

Step 2

Ab ek popup window open hoga, isme Erase button par click kare.

Mobile Phone Data Ko Delete Kaise Kare

Erase button par click karte hi aapkA android mobile phone factory reset mode me chala jayega. Aur aapke phone ka sara data (aaps, photos, videos, music, etc) remote access ke through delete ho jayega. Switch off hone par ye process nahi hoga, but jaise hi aapka phone switch on hoga aapka phone ka all data delete ho jayega.

Ye Bhi Padhe

 

Chori hone ya kho jane par apne andoid phone ka all data delete kaise karte hai, aap samajh gaye honge. Ummeed hai aapko ye jaankari acchi lagi hogi, agar aapka koi saval hai to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye post aapko acchi lagi ho to isse social networking site par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.