Without Copyright Issue Ke Youtube Par Kisi Dusre Ki Video Upload Kaise Kare
Hello friends, aaj mein aapko bataunga ki kis tarah aap youtube par bina khud ka video banaye paise kama sakte hai. Maine pichli post me aapko bataya tha ki youtube me video upload karke paise kaise kamate hai. Lekin agar aap video editing nahi janate hai aur na hi khud video bana sakte hai. To iska bhi solution mein aapke sath share karne jaa raha hu. Aap without copyright issue ke kisi dusre ka video apne channel par upload kar sakte hai. Detail me janate hai aapko kya karna hai.
Youtube me creative commons attribution ek aisa feature hai jiske through aap apne youtube channel me kisi dusre ka video upload kar sakte hai, vo bhi bina copyright issue ke. Aur yahi nahi inn videos ko apne channel par upload aur monetize karke aap earning bhi kar sakte hai.
- Youtube Channel Kaise Banate Hai
- Without Software Youtube Se Screen Record Kaise Kare
- Youtube Video Ko Monetize Karke Adsense Se Kaise Jode
- Blogpost Me Youtube Video Ko Kaise Add Kare
- Youtube Account Ki Earning Report Kaise Check Kare
- Blog Me Youtube Subscribe Button Kaise Add Kare
Youtube Channel Me Without Copyright Issue Ke Kisi Dusre Ka Video Kaise Upload Kare
Agar aap soch rahe hai ki koi aur apne videos aapko upload kyu karne dega, to mein aapko bata du ki kuch log youtube par videos upload karte hai taki unka video popular ho jaye aur jyada se jyada logo tak pahuche. Isme unka koi niji swarth nahi hota hai, aur vo chahte hai ki unke dwara banaya video famous ho jaye. Chahe koi bhi unke videos ko apne youtube channel par upload kare aur monetize kare isse koi fark nahi padta.
Ab aap soch rahe honge ki bina kisi copyright matter ke kisi aur ka video apne youtube channel me kaise upload kare hai. To iske liye mein aapko ek simple sa example de raha hu, ki aapne bhi youtube par video upload kiya hoga. Video upload karte samay aapne video ka title, description, tags enter kiye honge aur monetization kiya hoga . Lekin kya kabhi aap advance settings me gaye hai.
Creative Common Attribution Aur Standard Youtube License Feature Kya Hai
Youtube par video upload karte time Advance settings me jayenge to licence and right ownership feature me aapko do option show honge.
- Standard youtube licence agar kisi ne apne video me add kiya hai to inn video ko apne channel par upload karna copyright issue ke under aata hai. Aur aap inn video ko apne youtube channel par upload nahi kar sakte hai. Agar aap aise videos upload karenge to ye copyright matter hoga. Aur aapke khilaf complaint ho sakti hai jisse aapka youtube account block ho sakta hai.
- Creative commons – Attribution licence ke under aise videos aate hai, jinko aap apne channel me upload kar sakte hai. Aur inn videos ko monetize karke paise bhi kama sakte hai. Jaisa ki mein aapko pehle hi bata chuka hu ki creative commons feature ka use log apne videos ki popularity badhane ke liye karte hai. Isliye koi bhi without copyright issue ke inn creative commons videos ko apne youtube channel par upload kar sakta hai. Aur youtube se earning kar sakta hai vo bhi bina khud ka video banaye.
- Youtube Se Video Download Kaise Kare
- Youtube Par Video Upload Kaise Karte Hai
- Video Trailer Kaise Add Kare Youtube Channel Me
- Youtube Ki Sabhi Video Me Subscription Button Kaise Lagaye
- Youtube Channel Me Video Trailer Kaise Add Kare
- Graphic Intro Video Kaise Banaye Youtube Channel ke Liye
Without Copyright Issue Ke Youtube Par Kisi Dusre Ki Video Upload Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle apne youtube account me login kare.
- My channel par click kare.
- Video manager me jaye.
Step 2
Ab next window me video manager page khulega, bottom left side me jaye.
- Create par click kare.
- Video editor me click kare.
Step 3
Video editor par click karte hi aapke samne creative commons ka option open hoga.
- Credit commons ke icon par click kare.
- Search box me video search kare.
- Ab search result me videos show honge. Jisse upload karna chahte hai, usko mouse se hold click karte hue niche drag kare.
- Drag videos here me video drag karke add kare.
- Drag audio here ki help se video me other music add kar sakte hai.
- Video ke liye title likhe.
- Create video button par click kare.
Create video button par click karte hi aapka video create ho jayega. Ab aap iss video ko monetize kar sakte hai aur youtube se paise kama sakte hai.
Lijiye ab aapne creative commons option ki help se without copyright issue wala video upload kar liya hai. Issi tarah se baki videos bhi aap apne channel par upload kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki youtube me without copyright issue ke other videos kaise upload karte hai. Fir bhi agar aapka post se related koi bhi sawal hoto apne comment ke through puch sakte hai. Mujhe aapko reply karne me khushi hogi. Aur agar aapko ye post acchi lagi hoto isse social media par share bhi jarur kare.
Thanks yyr
hello sir…..
. mai ye video ko download kar k apne phone me edit kar k upload krne se copyright nhi hoga na ???
credit commons ke videos par copyright nahi hota hai
Sir mene last time dance+3 ka raghaw wala dance tv se record kiya tha use 1 din m 2k view mile the pr star plus walo ne use delet krwa diya. M esa kya kru ki ye copyright na ho? Plz help me
Aap koi bhi tv prgrm youtube par upload karenge to uspar copyright issue jarur hoga. Iske liye aap unse contact kar approval le sakte ho.
But sir create me an video editor ka option nhi aata h me ab kya karu please help me…
youtube video editor se video edit kar sakte hai, video box me drag karne ke baad bottom side me scale dekh sakte ho isse video ki length kam jyada kar sakte hai aur upar cc ke sath kuch options hai inki help se music font aadi add kar sakte hai.
Ham ye bat na smaj sky k copyright k video ko kaisy apny chenal par ya face book par kaisy uplod karsakty hai please help me.
Sir agar screen records se videos upload kru to uspe copyright hoga k nhi
Agar vo video kisi or ka hua jiski screen rec karna hai to copyright hoga
Sir ab youtube pe video editing ka option hata diya gya hai….ab ispe yhe feature available nahi hai….iska alwa koi idea ho to plz bata de hame……thanks
iske bare me bahut jald new post publish karuga.
Mere dance video pr upload karte samay creativve कॉमन attribution lgane pr bhi copyright ata h apne aap setting se fir licenced vala option aa jata h . Kya karu
sir maine legend app se intro video banaya h aur usme audio add krna chahta hun.. but wo audio kha se download kru ki copy right na ho… please suggest me.
without copyright music aap youtube > video manager > create > audio library se download kar sakte ho.
thnk u sir…
maine yha se check kiya h kya iske alawa aur v koi site h?
Ek baar Google par search kijiye aapko bahut bahut sari copyright free music site mil jayegi.
sir site mil rhi h but.. description me un site ka link dalna pdega….. mai intro video bana rha hu jo har video me hoga aise me har video me unka description link dalna pdega.?
iske liye youtube audio library hi sahi rahega
sir maine youtube channel create kiya Google adssnse form v bhara… phr 2 din bad delete kr diya aur dusre gmail account se same name ka new youtube channel create kr diya.. tbhi phle gmail acount ka..Google adsense account approved hone ka email aya.. jise maine cancel kr diya…
ab kya mera dusre gmail account ke sath Google adsense approved hoga with same youtube channel name.
Agar pehle wali id par adsense approved ho gaya hai to isse aap kisi bhi other id or channel channel par add kar sakte ho.
maine phle wali id ko cancel kr diya.. approved hone ke bad.
To isse phir se apply kijiye new id par
sir i need 1 help also maine logo.. channel art lga diya h apne youtube channel pr….. but you tube search results me mera channel name ni show kr rha h. aisa ku? please suggest me.
starting me aisa hota hai fir bhi channel discription me channel ka name daliye aur kuch dino tak video title, tags, video description me bhi channel ka name enter kare jaldi hi aapka channel search me aa jayega.
अच्छा भाई एक बात बताओ,
किसी दूसरे का gameplay Ko Download करके खुद से वॉइस एड करके वीडियो अपलोड करूंगा तो कॉपीराइट का भी Issue Hoga।
Jis Bande Ka Gameplay Download Karna Hai Wo Other Country Ka Hai. Kya अपने Country me Voice add करके कर सकते है।
Agar uss user ne kisi online site par upload nahi kiya hoga to koi problem nahi hai
1-WeMonotizetion new chains par bhi ho sakata hai ya koi niyam hair
2-create par click Karen par video editor nahi show kar raha hai music show kar raha hai
aapke new channel par 10 k views hone chahiye tabhi aap montization kar sakte ho. and creater studio me video editor ab disable ho gaya hai.
Sir
Mene dekha he jab kisi ka videos or emages use karte he to description me Attribution likhkar aage kuch organization ke name likhte he or yesa ku likhte he or iska matlab kay hua. Or us organization ka name likha he matlab jisne unka content use kiya he video me to usne organization ki personaly puchkar permission li he kay
2) or video ke description me credit likhkar kuch website ke name likhe hote he to un website owner se bhi personally permission li hoti he kay
3) video ke description me likha he ( Martian cowboy by Kevin makleond is license under a creative conman license ( https://creativecommons.org/licenses/)
Source :http://incompetech.com/music/royalty
Artist : http://incompetech.com/
Iska matlab kay hua plz reply do sir I’m waiting your ans
youtube par video upload karne par by default standard license add ho jata hai, lekin kuch log apni video ko popular banana chahte hai to to vo video ko creative commons attribution license me upload karte hai. isse koi bhi unki video ko apne channel par upload kar sakta hai aur unhe copyright nahi aata hai. lekin aisi video me description aur contents video owner ka hota hai, jo ki as it is rehta hai. aap chahe to description ko remove kar sakte hai. aur apna descrition de sakte hai. hope aap samajh gaye honge ki youtube me video 2 type ke license ke through upload hote hai first standard youtube license and 2nd creative commons attribution first license ke video aap upload nahi kar sakte hai aur second license video ko pupular karne ke liye video owner lagata hai. jisse koi bhi uss video ko youtube par upload karke usse logo tak share kar sake.
Sir,
1 chanel ne description me likha he…
( Attribution :
Space Telescope Animation – ESA
View of the ISS – NASA
Earth from the ISS – NASA
moon time lapse – Videvo (Scaric-One)
Astronauts on the Moon – NASA
Apollo 17 Launch – NASA
Apollo 8 Animation – NASA
Spirit Rover Animation – NASAJPL-Caltech
Saturn and the Sun -Abdelrahman El-masry
Cassini NASAJet Propulsion Laboratory Caltech
Voyager Animation – NASA Caltece. )
To sir usne Attribution likhkar kuch. Organization ke name likhe he sir plz say me usne yesa ku add kiya he description me
Vo video giographiy ke bare me he
ye sabhi keywords hai aur video search me lane ke liye aisa kiya gaya hai.
Kay Google Search se gif images collect x katke banai gai video youtube me reused content mana jayega ? Pls answer me
Kya mai Pinterest ya fir Telegram App se Videos lekar Youtube par upload kar skti hu sir? Please btaein.
youtube se earning karne ke liye aapko apne khud ke hi videos youtube par upload karne honge kisi dusre platform ke videos aap youtube par upload nahi kar sakte hai chahe vo aapke khud ke videos hi kyu na ho ye youtube ki reuse content policy ke against hoga isliye