Youtube ek popular social media website hai jaha par log videos upload aur share kar sakte hai, kai log hai jo youtube video upload karke acchi khasi earning bhi kar rahe hai, aap bhi youtube se paisa kama sakte hai lekin uske liye sabse pehle aapko video ko monetize karke adsense se jodna hoga.
Youtube me video upload karna koi muskil kaam nahi hai, lekin agar aap pehli baar youtube par videos upload kar rahe hai to ye thoda sa muskil lag sakta hai, lekin second time aap isse bahut jaldi aur easily kar sakte hai.
Youtube Video Upload Kaise Kare
Youtube par videos upload karne ke liye sabse pehle ek channel create kijiye youtube channel kaise banate hai ye hum aapko pehle hi bata chuke hai, aur ab step by step jaante hai ki youtube par video upload kaise karte hai.
Step 1
Sabse pehle youtube.com par login kare, agar aapka koi channel hai to my channel par click kar sakte hai.
??Youtube Se Video Download Kaise Kare Without Software
Step 2
Ab agle page me top right side me ek [upload] button par click kare.
??Youtube Videos Ko Blogpost Me Kaise Add Kare
Step 3
Ab jaise hi aap upload par click karenge, to agli window me videos upload karne ka option aayega, yahapar youtube video upload karna hai.
- Select files to upload par click kare.
- Video ko click karke choose kare.
??Youtube Me Without Software Screen Record Kaise Kare
Step 4
Ab agli window me aapka youtube video upload hona start ho jayega, video ko pura upload hone dijiye.
- Processing done, yaha dekh sakte hai ki video pura upload ho gaya hai.
- Yaha par title bhare.
- Video ke bare me discription daliye.
- Apne video ke topic se related tag dale.
- Jaise hi video pura upload ho jata hai to yaha par automatically teen images show hogi, inme jo image video thumbnails me show karna chahte hai usse select kare.
- Sabhi ke sath share karne ke liye public select kare.
- Youtube ke sath sath google+ aur twitter par direct share kar karne ke liye tick box me tick kar sakte hai.
- Same topic par jo videos hai unki playlist taiyar kar sakte hai.
- Aakhir me publish ki button dabaye, jaise hi aap publish karenge aapka video upload ho jayega.
- Jo video aapne upload kiya hai, usse dekhna hai to yaha par click kare.
- Yahapar click karke aap iske sath aur videos ko add karke upload kar sakte hai.
Lijiye aapka video completely youtube par upload ho chuka hai, aur humare youtube channel ko subscribe karne ke liye yaha click kare.
Youtube Me Video Upload Karne Ke Liye Video Dekhe
Ab aap youtube me videos upload karna jaan gaye hai, agar phir bhi koi saval hai to aap comment karke puch sakte hai, aur agar yeh post achhi lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.