YOU TUBE

Kisi Bhi Popular Youtube Video Tags Ko Kaise Check Kare

Pehle hum kisi bhi youtube video tags ko video ki description me aasaani se dekh sakte the. Lekin kuch saal pehle hi youtube ne isse hide kar diya hai. Ab hum kisi bhi youtube videos ke tags ko video ki description me nahi dekh sakte hai. Agar aap kisi popular video tags ko apne related video me use karna chahte hai. Aur nahi janate ki kisi dusre ki video ke tags ko kaise check karte hai. To aaj ki iss post me mein aapko bataunga ki kisi bhi  youtube video tags ko kaise dekhte hai.

Agar youtube videos par view increase karna chahte hai to iske liye youtube search engine optimization karna hoga. Jaise youtube video se related high quality keywords ko description me use karna chahiye. Ussi tarah se tags ko video me use karna bhi youtube seo optimization ka ek part hai. Jisse humari video ki search ranking high badh jati hai, aur video view bhi increase hote hai.

Video Dekhe

Kisi Bhi Popular Youtube Video Tags Ko Kaise Check Kare

Other video tags ko dekhne ke liye aapko simply video page ke html source pageko open karna hoga. Html source me youtube video tags kaise find karte hai, aaiye step by step janate hai.

Step 1

Sabse pehle youtube ki official website me jaye. Aur uss video ko open kare jiske tags aap check karna chahte hai, apne video me use kare ke liye. Video open hone ke baad, page ke kisi bhi blank area me right click kare. Aur options me view page source par click kare.

Youtube Video Tags

Youtube Video Tags

 

Step 2

Ab ek HTML source page open hoga, isme Ctrl+F key press kare, aur og:video:tag find kijiye. Ab aap contents= ke aage video tags dekh sakte hai. For-example youtube income, youtube earning etc.

Youtube Video Tags

Issi tarike se aap youtube me kisi bhi popular video tags ko check kar sakte hai. Aur apne youtube video me use karke youtube video seo ko increase kar sakte hai.

I hope, youtube video tags kaise check karte hai, ab aap jaan gaye honge. Post se related aapka koi bhi sujhav ya saval ho to comment karke puch sakte hai. Mujhe aapke suggestion ke liye or reply karne me khushi hogi. Aur agar aapko ye post helpful lage to isse social media sites par apne friends ke sath share jarur kare.

 

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

5 thoughts on “Kisi Bhi Popular Youtube Video Tags Ko Kaise Check Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.