YOUTUBE VIDEO KO BLOG POST ME KAISE ADD KARE
umeed hai aapne apna blog bana liya hoga, agar nahi banaya hai to pehle blogger me blog banaye, aur uske baad blogger me new article publish kaise karte hai yeh bhi padhe.
Youtube Video Ko Blog Post Me Kaise Add Kare
Step 1
Sabse pehle youtube account me login kare.
1. My channel par click kare.
2. Video manager me click kare.
Step 2
Ab Jiss video ko add karna hai usse open kare.
1. Share button par click kare.
2. Embed button par click kare.
3. Link ko copy kare.
Step 3
Iske baad blogger me login kare, aur jiss post me video add karni hai usse open (edit) kare.
1. HTML button par click kare.
2. You tube embed link ko paste kare, apne according jaha videos show karna chahte hai, aur save kar de.
Note:- Link me diye “width” aur “heights” ko aap apne hisab se ghata aur badha sakte hai.
Ab aap compose section par click karke dekh sakte hai, video kuch iss tarah show hogi.
You tube videos ko blogger me add karne ka tarika aapko kaisa laga, comment karke jarur bataye aur ye article accha laga ho to niche diye share button ki help se isse share karna na bhule.
appki post bohot aschi hay matlab bohot helpful apki kost she mare ko bohot kuch shikne ko mila hay. Thanks For Sharing.
(Youtube Videos Ko Blogger Post Me Kaise Add Karte Hai)
https://www.lastanmen.in/2018/10/youtube-videos-ko-blogger-post-me-kaise-add-kare.html
thanks