Hello friends, hum sabhi ye acchi tarah se jante hai ki youtube ek video uploading aur video sharing ke liye world famous aur popular website hai, hazaro lakho video yahapar daily upload aur share kiye jate hai, lekin jab hume koi video pasand aata hai aur hum usse download karna chahte hai to isme hume problem hoti hai, kyuki yaha par koi youtube video download option hi available nahi hai, isliye bahut se log other downloading software ka use karke youtube se video download karte hai.
Ye software sirf kuch din free use kar sakte hai lekin baad me inka use karne ke liye hume pay karna hota hai jo ki kafi costly padta hai, isiliye aaj hum iss article me janenge ki bina kisi downloading software ke youtube video download kaise karte hai.
Youtube Se Video Download Kaise Kare/How To Download Youtube Video
Pichli post me humne jaana ki youtube channel kaise banate hai, aur channel banane ke baad youtube me video upload kaise karte hai, aur aaj hum janenge free me bina kisi software ke videos download karne ke baare me, to chaliye dosto ab aapka jyada samay na lete huye step by step jante hai kya karna hai.
??Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare Aur Google Adsense Se Kaise Jode
Step 1
Sabse pehle youtube.com me jaaye aur jo video download karna chahte hai usse open kare.
??Youtube Vide Ko Blogpost Me Kaise Add Kare
Step 2
Ab jo page open hoga uspar web address (url) me aapko thodi si editing karni hai.
- Web address se https://www. ko hataye.
- Ab https://www. ki jagah par ss add kare, aur enter key dabaye.
For Example;
http://www.youtube.com/watch?v=1IdN0PMzP-w
ssyoutube.com/watch?v=1IdN0PMzP-w
??Youtube Me Without Software Screen Record Kaise Kare
Step 3
Ab agle page me video download karne ke alag alag formate diye gaye hai, jis formate me download karna chahte hai uss par click kare.
Ab jaise hi aap formate par click karenge video download hona shuru ho jayegi.
??Youtube Account Ki Earning Report Kaise Check Kare
Youtube Video Download Kaise Kare, Video Dekhe
Congratulations! dosto ab aapne youtube se videos download karna jaan liya hai, ab baari aapki hai apne comments dwara hume bataye ki yeh post aapko kaisi lagi, agar helpful post hai to isse share jarur kare.
View Comments (4)
Bhot accha article hai
thanks
Sir apka blog padha kafi accha trick hai. mai pahale dusare tarike se you tube video load karta tha
you aur tube ke bich me magic likhne se bhi video load ho sakta hai....
Apki website ka name mujhe acha laga..
advance me happy new year..
thanks, and aapko bhi naye saal ki mubarak