X

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide In Hindi

Youtube world ki top popular video sharing website hai. Aur per day lakho karodo log iss platform par video upload, share aur download karte hai. Youtube google ka hi product hai, jisse video dekhne ke liye banaya gaya hai. Bahut se log aise hai jo youtube se acchi khasi earning kar rahe hai. Aur agar aap bhi youtube se paise kamane ke baare me soch rahe hai, to aaj mein aapko bataunga ki youtube se paise kaise kamaye.

Agar aapko online ghar baithe paise kamana hai to youtube sabse easiest way hai. Iss platform par aap bina kharcha kiye free me online earning kar sakte hai. Iske liye aapko video banakar youtube par upload karna hoga aur aapki earning start ho jayegi. Dhyan rahe ki video aapka khud ka banaya hua hona chahiye, aur kisi tarah ka copyright metter nahi hona chahiye. Aur youtube terms & conditions ke according hi video banaye. To chaliye janate hai ki video banakar youtube se paise kaise kamate hai.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye / How To Earn By Youtube

Agar aap soch rahe hai ki youtube se paise kaise kamaye, to mein aapko bata du ki bahut se aise youtubers hai jo video banakar youtube se lakho rupees kama rahe hai. Aap bhi youtube se income kar sakte hai. Youtube se kaise kamaye ye janane ke liye niche diye steps follow kare.

  1. Sabse pehle apna youtube channel banaye.
  2. Youtube channel banane ke baad isme khud ka banaya video upload kare.
  3. Upload hone ke baad video ko monetize karke adsense se jode. Video monetization me aapka adsense account apply ho jayega.

 

Kuch hi dino me aapka adsense account approved ho jayega, jiski notification email ke through aapko mil jayegi. Google adsense account approved ho jane ke baad aapki earning bhi start ho jayegi. Ab simple apne videos banakar upload karte rahe aur youtube se paise kamaye.

 

Youtube Se Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye

  • Talent: youtube se income karne ke liye sabse pehli requirement hai aapka talent. Aapki aawaz aur bolne ka style kaise hai ye bhi quality video ke liye metter karta hai. Isliye video banate samay aisa react kare jaise aap khud samne hokar samjha rahe ho. Video quality bhi better honi chahiye, taki viewers ko dekhne me koi pareshani na ho.
  • Computer Or Laptop: hona jaruri hai.
  • Video Editing Ki Thodi Bahut Knowledge: honi chahiye. Vaise aap google par search karke bhi apne video ko edit kar sakte hai.
  • Camera Or Screen Record Software: ka use video making ke liye kar sakte hai. High resolution camera se aap video shoot kar sakte hai. Agar computer ki screen record karna hai to “CamStudio, Screenr Or Camtasia Studio” software ka use kar sakte hai.

 

Youtube Se Income Kaise Hoti Hai

Aapke upload kiye gaye videos ko jab visitors dekhte hai. To video me google adsense ke ads bhi show hote hai. Aur jab bhi koi viewer inn ads par click karega to aapki earning hogi. Iske alawa bhi per 1000 view ke according $1 ke aas paas aapki income ho sakti hai.

 

Youtube Se Hui Earning Kaise Milegi

Youtube video se hui earning sidhe aapke adsense account me add hoti hai. Aur adsense account se aap electric fund transfer (EFT) aur check se payment receive kar sakte ho. Agar EFT option ko choose karenge to payment direct aapke bank account me transfer hogi. Pehli baar $100 pura hone par hi adsense aapko payment karta hai.

 

Video Dekhe

 

Ye Bhi Padhe

 

Dosto youtube se paise kaise kamaye, iski jaankari meine aapke sath share ki hai. Agar aapko ye article pasand aaya ho to isse social media par share jarur kare. Aur agar isse related aapka koi bhi saval ho to comment karke puch sakte hai. Mujhe aapko reply karne me khushi hogi.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (15)