How to make money on youtube yani ki youtube se onine earning kaise kare iss post me hum janenge, so agar aap ghar baithe paise kamana chahte hai to ye aap youtube par video upload karke online earning kar sakte hai.
Youtube poore world ki top popular video sharing website hai aur daily lakho karodo log iss youtube platform par video upload karte hai, share aur download karte hai.
Youtube google ka hi ek product hai jise google ne video dekhne ke liye launch kiya hai, bahut sare video creater hai jo youtube se acchi khasi earning kar rahe hai, millions me bhi kai creators money earn kar rahe hai.
Aise me agar aap bhi youtube se paise kamane ke baare me soch rahe hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai, yahapar mein aapko bataunga ki youtube se paise kaise kamate hai.
Agar aap ghar baithe online paise kamana chahte hai to online make money ke liye youtube sabse best aur easiest way hai, youtube platform par aap bina invest kiye free me online earning kar sakte hai.
Iske liye simply aapko video banakar youtube par upload karna hoga aur fir apne channel ko monetize karna hai, jiske baad aapki earning start ho jayegi.
Lekin iss baat ka aapko dhyan rakhna hai ki video aapka khud ka banaya hua hona chahiye, aur kisi tarah ka copyright content use nahi karna hai iske sath hi youtube ki terms & conditions ke according hi video banana hai, to chaliye ab janate hai ki video banakar youtube se paise kaise kamaye.
YouTube Se Online Earning Kaise Kare – How to Make Money on Youtube
Youtube se paise kamane ke liye aapko youtube par consistency ke sath video upload karna hai, agar aap daily ek ek quality content video apne channel par upload karenge to aap aasani se youtube se earning kar sakte hai, iska poora process janane ke liye niche steps follow kare.
- Sabse pehle apna Youtube channel banaye.
- Youtube channel banane ke baad isme khud ka banaye Videos upload kare.
- Upload hone ke baad video ko monetize karke adsense se jode. Video monetization me aapka adsense account apply ho jayega.
Google Adsense Approval Kab Milta Hai
Watch Hour Complete Hone Par: 4000 watch hour complete ho jaye, video views 4 hazar ghante complete ho jaye to channel monetize ho jata hai.
1000 Subscribers Complete Hone Par: 4000 watch hours complete hone ke sath 1000 subscribers bhi complete hone chahiye tabhi channel monetize hoga aur aapki youtube se earning start ho jayegi.
Jaise hi ye criteria complete ho jaye, aapka adsense account approved ho jayega, jiski notification email ke through aapko mil jayegi. Google adsense account approved ho jane ke baad aapki earning bhi start ho jayegi. Ab simple apne videos banakar upload karte rahe aur youtube se paise kamaye.
Youtube Se Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye
- Talent: youtube se income karne ke liye sabse pehli requirement hai aapka talent. Aapki aawaz aur bolne ka style kaise hai ye bhi quality video ke liye matter karta hai. Isliye video banate samay aisa react kare jaise aap khud samne hokar samjha rahe ho. Video quality bhi better honi chahiye, taki viewers ko dekhne me koi pareshani na ho. Vaise aap bina face dikhaye bhi good quality ki voice over video bana sakte hai.
- Computer Or Laptop: hona jaruri hai.
- Video Editing Ki Thodi Bahut Knowledge: honi chahiye. Vaise aap google par search karke bhi apne video ko edit kar sakte hai.
- Camera Or Screen Record Software: ka use video making ke liye kar sakte hai. High resolution camera se aap video shoot kar sakte hai. Agar computer ki screen record karna hai to “CamStudio, Screenr Or Camtasia Studio” software ka use kar sakte hai.
Youtube Se Income Kaise Hoti Hai
Aapke upload kiye gaye videos ko jab audience dekhti hai, to video me google adsense ke ads bhi show hote hai. Videos me ads aane se aapki earning hogi.
Kisi video me 1000 views hone par 1 dollar ban sakta hai, kisi me 3 hazar aur kisi kisi me 5000 views hone par ek dollar earning ho sakti hai, alag alag video views ke according alag alag earning hoti hai.
Youtube Se Hui Earning Kaise Milegi
Youtube video se hui earning sidhe aapke adsense account me add hoti hai. Aur adsense account se aap electric fund transfer (EFT) aur check se payment receive kar sakte ho. Agar EFT option ko choose karenge to payment direct aapke bank account me transfer hogi. Pehli baar $100 pura hone par hi adsense aapko payment karta hai.
Youtube se online earning kaise kare, i hope ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.