Youtube Ke Naye Mini Player Feature Ka Kya Hai Use
Youtube ek top video sharing site hai aur iske kya kya features hai ye aap janate hi honge. Youtube ne pichle kuch samay me kai new features add kiye hai. Aur haal hi me youtube ne ek naya feature add kiya hai jiska name mini player hai. Youtube ke new mini player feature ka kya use hai aaj iss post me mein aapko bataunga.
Aap youtube par videos dekhte honge aur aapne video ke bottom right side me full screen aur theatre mode option ko jarur dekha hoga. Ye vo features hai jinki help se aap youtube video ko full screen mode aur theatre mode me dekh sakte hai.
Youtube ke inn options ke sath ek mini player ka naya aur kamal ka option joda gaya hai. Agar aap iss feature par mouse cursor touch karenge to aapko mini player likha hua flash hoga. Ispar click karne par video restore mode me play ho jata hai.
Youtube Ke New Mini Player Feature Ka Kya Hai Use
Naye feature mini player ke add hone se ab aap youtube par video dekhne ke sath sath dusre kaam bhi kar sakte hai. Video play karne ke baad mini player option par click karke aap video ko side me play kar sakte hai. Aur youtube par new search kar sakte hai.
Iska sabse bada benefit ye hai ki isme play hui video band nahi hoti hai. Aur aap video dekhne ke sath sath youtube par dusre kaam jaise searching etc kar sakte hai.
To agar aap aksar youtube par videos dekhte hai to ab aap youtube ke mini player feature ko use kar sakte hai. Aur youtube par other work bhi kar sakte hai.
I hope youtube ke new mini player feature kya kya use hai ab aap samajh gaye honge. Agar aapko ye jankari acchi lagi ho to video ko share jarur kare. Aur agar aapke youtube se related koi sujhav hai to niche comment box me comment kar sakte hai.