YOUTUBE ME WITHOUT SOFTWARE SCREEN RECORD KARE
Screencast karne ke liye humare pass kaafi software available hai, lekin kya aap jaante hai ki bina kisi bhi desktop software ke hum youtube ke ander video bana sakte hai, aur youtube par upload kar sakte hai.
Youtube Se Without Software Screen Record Kaise Kare??
Step 1
Sabse pehle youtube.com par click kare, aur gmail id se login kare. Agar gmail id nahi hai to pehle apni gmail id banaye.
Step 2
Ab niche diye steps follow kare.
1. Upload ki button dabaye.
2. Live Streaming option me Get Started button par click kare.
Step 3
Agle page me start over par click kare.
Step 4
Ab phone verification ke liye niche steps follow kare.
1. Country (India) select kare.
2. Send me a verification code text message par click kare.
3. Apna mobile number daale.
Step 3
1. Apna code daale.
2. Submit ki button par click kare.
Step 4
Ab aapka account verify ho chuka hai, continue ki button par click kare.
Step 5
Ab terms & conditions page open hoga, yaha par I Agree par click kare.
Step 6
Iske baad jo agla page open hoga usme “Create live event” par click kare.
Step 7
Ab agle page me niche diye steps follow kare.
1. Title daale.
2. Yaha par recording se related discription daal sakte hai.
3. Yaha par “private” select kare, jisse ki aap publish karne se pehle edit kar sake.
4. Go live now ki button dabaye.
Step 8
Agle page me google hangouts pop-up window khulegi, yaha niche diye steps follow kare.
1. Screen share button par click kare.
2. Camera icon par click karke recording off kare.
3. Jo screen record karni hai usse select kare.
4. Share ki button par click kare.
Ab apni screen record kare.
Step 9
Iske baad youtube dashboard me jaaye aur video manager me videos par click kare, yaha par new video ke dropdown par click kare.
1. Video manager par click kare.
2. Videos par click kare.
3. Edit dropdown par click kare.
4. Download ki button par click kare.
Ab kisi bhi video editor se apni new video ko edit kar sakte hai aur uske baad youtube par publish kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe
??Ye jaankari aapko kaisi lagi, commet karke apne savaal puch sakte hai aur post acchi lage to niche diye share button dabakar isse apne dosto ke saath share bhi jarur kare.
Zabardast tutorial bhai.
Thanks sumair ji..