X
    Categories: YOU TUBE

Youtube Channel Ke Liye Graphic Intro Video Kaise Banaye

Hello friends, youtube ek top video sharing website hai ye aap acchi tarah se janate honge. Aur kai log iss platform par apna channel banakar aur video upload karke lakho rupees kama rahe hai. Aap bhi youtube se earning kar sakte hai ye hum pichli post me jaan gaye hai ki youtube se paise kaise kamate hai, aur aaj hum janenge ki youtube channel ke liye graphic intro video kaise banate hai.

Agar aapne youtube par channel banaya hai aur usme intro video add nahi kiya hai to iske bina aapka youtube channel adhura lagega. Graphic intro video add karne se aapke youtube cnannel ki ek alag pehchan banti hai. Aapke youtube channel par graphic intro video se viewers ko pata lag jata hai ki jo video vo dekh rahe hai, vo kis channel ki hai. Isliye bhi youtube channel par graphic intro video add karna bahut important ho jata hai. To ab aapka jyada time naa lete huye janate hai ki youtube channel ke liye graphic intro video kaise banate hai.

Youtube Channel Ke Liye Graphic Intro Video Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle flixpress.com link me jaye aur aur login kare. Agar account nahi hai to pehle apna account create kar lijiye.

 

 

Step 2

Ab apni email account open kare aur apne inbox me flixpress se aaya hua email open kare. Email me Click here to verify account par click kare.

 

 

Step 3

Ab aapka flixpress account verify ho gaya hai. Yaha par aapko 3 plan show honge, free me use karne ke liye Free Plan par click kare.

 

 

Step 4

Free plan choose karne ke baad next window me free option ke niche sugn up button par click kare.

 

 

Step 5

 

Ab selection ko confirm karne ke liye next page me That’s right next! button par click kare.

 

 

Step 6

Ab aap flixplay ko free me use kar sakte hai. Aur apna 2 minutes ka free video create kar sakte hai, free graphic intro video banane ke liye Start creating your video button par click kare.

 

 

Step 7

Start creating your video button par click karte hi, next window me free 35 intro video show honge. Inn graphic intro videos par moutse cursor hold karke check kar sakte hai ki video intro kaisa show hoga. Ab jiss collection ko set karna hai, uss par click kare, aur Customize now button par click kare.

 

 

Step 8

Customize now button par click karne ke baad ek option aayega aapke youtube channel ki image upload karne ka. Apne youtube channel ki image upload kare

  1. Upload image par click kare.
  2. Proceed button par click kare.

 

 

Step 9

Ab ek popup window open hogi, aapke youtube channel ki image upload ho chuki hai, Next button par click kare.

 

 

Step 10

Next page me ek aur popup window open hogi, isme video customize karna hai, iske liye niche diye steps follow kare.

  1. Intro text me apne channel ka name enter kare.
  2. Channel ka subtitle entger kare.
  3. Intro video ke liye pixels select kare, 360 aur 720 pixels me se apne according koi bhi ek selec kare.
  4. Preview par click karke apne intro video ka preview check kar sakte hai.
  5. Place order button par click kare.

 

 

Step 11

Ab ek aur popup page open hoga, isme View my orders button par click kare.

 

 

Step 12

View my orders par click karte hi aapka graphic intro video taiyar ho chuka hai. Ab video thumbnail me More options par kare aur download karne ke liye Download HD option par click kare.

 

Download HD par click karte hi aapki youtube channel ka graphic intro video download hona start ho jayegi. Download hone ke baad iss intro video ko apne channel ke introduction ke liye add kar sakte hai.

Dosto ab humne youtube channel ke liye graphic intro video bana liya hai. Ab iss intro video ko apne youtube channel par add kar sakte hai. Agar ko problem aaye ya aapka koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur agar aapko ye post acchi lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (19)

  • mast post hai bhai.mai jab kisi ki YouTube ko dekhta tha mujhe us video ko play hone time ko us channel ke nam ka ek accha look Jise intro video bolte hai ye play hota tha dekhne me kafi accha lagta tha.mujhe iske bare me pata nhi tha ye kya hota hai banta Kaise hai maine kisi se puchne ki kosis nhi kiya but ab aapki post ko read kar mujhe pata chala ki intro video hota kya hai Kaise Banaye thanks.Really NYC post

  • sir flixpress me preview ka option video me ata hai or usko hatane ke liye site me preview ka option nahi hai

  • mera ek sawal hai is site se bahut se log intro video banate hai isliye copyright nahi hoga kya hai detail me samjhaye

    • agar aap koi dusre ka video monetize karte hai to copyright claim ho sakta hai but ye to channel ke liye intro video hai ispar koi bhi copyright nahi hota chahe jitne b channel iss video ko apply karte hai.

  • Sir
    Standard YouTube license ke video kaise edit kre
    Edit Mai hme us video Kya jodna hoga ki copyright client na aaye

    Tell me bro

    • Aapne kisi or ka video edit karke upload nhi karna hai khud ka video banaye aur matter copy na kare copyright nhi aayega