WordPress website me whatsapp chat kaise add kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aapka wordpress blog hai aur chahte hai ki wordpress blog par kaam karte hue aapko whatsapp par koi messege send kare to uska notification aapko wordpress par hi mil jaye to iss trick ka use jarur kare.
Whatsapp ek popular social messaging app ban gayi hai aur hum sab daily life me iska use karte hai. Aise me agar aap ek blogger hai aur wordpress par aapko blog hai to ab aap wordpress platform par apna kaam karte hue whatsapp chat bhi kar sakte hai.
Iske liye bus aapko apne wordpress blog me ek plugin install karke activate karna hai jiske baad aap easily wordpress se whatsapp chat ko bhi access kar sakte hai. WordPress website me whatsapp chat kaise karte hai iske liye niche diye steps follow kare.
WordPress Website Me Whatsapp Chat Kaise Add Kare
WordPress blog me whatsapp account use karna bahu hi simple aur easy hai to kaise aap whatsapp chat ko wordpress par use kar sakte hai chaliye step by step janate hai.
1 Sabse pehle apne WordPress blog me login kare.
2 Ab left side menu me Plugins par click kar Add new option par click kare.
3 Iske baad top right hand side me Search plugins box par click karke Whatsapp searc kare.
4 Ab search result me top side me aapko WAme chat plugin show hoga iss Install karke Active kar dijiye.
5 Ab plugins section me ye plugin add ho jayega yahapar aapko iske niche Settings par click karna hai.
6 Iske baad top side me Telephone option ke samne apna whatsapp number enter kare.
7 Aur finally bottom side me Save changes ke button par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke blog par koi bhi visitors visit karenge to unko bottom side me whatsapp icon button show hoga, jispar click karke vo direct aapse whatsapp par chat kar sakte hai.
- The site is Experiencing Technical Dificulties Error Fix Kaise Kare
- Google Adsense Me Ads.txt Error Fix Kaise Kare
I hope ab aap samajh hi gaye honge ki wordpress website me whatsapp chat kaise add karte hai. Agar aapko jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.