How to add or create categories in your wordpress blog yani ki wordpress website me category kaise banaye iss post me hum janenge, so agar aap ek blogger hai aur aapka blog wordpress platform par hai to aap apni website me alag alag categories add kar sakte hai aur unn categories me unse related topics ki posts ko add kar sakte hai.
WordPress website me alag alag categories create karke aap apni blog posts ko sort aur groups me categorize kar sakte hai, isse aapki website visitors kisi bhi category par click karke uss category ki sabhi posts ko ek jagah par dekh aur padh sakte hai, apne wordpress blog me aapko category add jarur karni chahiye, kaise karte hai chaliye step by step janate hai.
- WordPress Blog Me Live Chat Kaise Add Kare
- Google Adsense Ke Liye High Quality Blogpost Kaise Publish Kare
WordPress Website Me Category Kaise Banaye
1 Sabse pehle apne WordPress blog me login kare.
2 Iske baad wordpress dashboard me left side menu me Posts option par click kare.
3 Ab posts option me Categories option par click kare.
4 Iske baad new category create karne ka option aayega yahapar Add new category section me:-
- Name ki field me apni category ka naam enter kare.
- Slug ki field me apni website ke kisi page ke URL ka last part enter kare, agar kisi webpage se iss category ko link karna hai, otherwise isse blank rehne dijiye.
- Parent category ke dropdown par click kare aur pehle se available uss category ko select kare jiske under me iss new category ko add karna chahte hai, subcategory banana chahte hai.
- Description box par click karke iss new category se related description enter kare, iss category me users ko kya milega vo detail yahapar enter kare.
- Add new category option par finally click kar dijiye.
Iske baad aapke wordpress blog me ek new category add ho jayegi, ab aap new post create karenge aur usme iss new category ko select karenge ya fir apni old post open karke usme iss new category ko select karenge to aapki website me users ko new added category bhi show hona start ho jayegi jispar click karke vo new category se related sabhi articles ko dekh sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki wordpress blog me category kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.