WordPress Themes Blog Me Upload Kaise Kare
WordPress par blog banane ke baad jo sabse pehla kaam hota hai vo hai blog designing ka, aur wordpress themes ko upload karke aap badi aasaani se apni website ko ek attractive aur professional look de sakte hai.
Agar aap wordpress par search karenge to aapko bahut si popular, featured aur latest themes mil jayegi, jinko aap select karke free me apne blog par upload kar sakte hai.
WordPress Themes Blog Me Upload Kaise Kare
WordPress blog par themes upload karna bahut easy hai, to chaliye niche diye steps follow karke janate hai.
Step 1
Sabse pehle apne wordpress dashboard me login kare.
- Appearance me jaye.
- Themes par click kare.
Step 2
Ab agle page me Add New button par click kare.
Step 3
Ab next window me aapko bahut sari themes show hogi, jiss theme ko blog me add karna hai uss par click kare.
- Scroll down karke aap apne pasand ki theme select kare.
- Aap chahe to search box me theme search kar karke select kar sakte hai.
- Category ke according short karke bhi theme choose kar sakte hai, jaise ki featured, popular, latest etc.
Step 4
Ab jiss theme ko blog ke liye choose kiya hai uspar mouse touch karenge to aapko do option show honge.
- Preview par click karne se theme ke according aapki site ka look kaisa hoga, check kar sakte hai.
- Theme ko Install karne ke liye Install button par click kare
Step 5
Install button par click karne ke kuch hi minutes me aapki theme installed ho jayegi, ab isse blog par upload karne ke liye Activate button par click kare.
Lijiye ab aapke blog par theme upload ho gayi hai, ek bar apni site open karke check kar lijiye ki ye kaisi show ho rahi hai, ab aapko isse apne blog ke hisab se customize karna hai, iski jaankari aapko next post me di jayegi.
Friends aapko wordpress themes se related ye jaankari kaisi lagi apne comment ke through feedback jarur dijiye, aur agar post acchi lagi ho to isse social media par apne dosto ke sath share karna bilkul na bhule.
Namaskar sir meine mythemeshopbse schema theme purchase ki hai
Aur vah se jo file download hui hai
Usme likha hai file name – mts_schema.zip aur type winRAR zip archive . Likha hai
To sir kya mujhe yhi file wordpress par upload krni hai.
Nhi pehle isse right click karke extract kar lijiye aur extracted file ko upload kijiye