WordPress post me featured image kaise add kare iss post me hum janenge, so agar aapka blog wordpress platform par hai aur wordpress me apni new post me featured image add karna ke baare me janana chahte hai to ye post aapke liye hi hai.
Featured image vo image hoti hai jo humari blog post ko represent karti hai, isse post thumbnail bhi kaha jata hai. For example aap niche di gayi image ko dekh sakte hai.
Bahut si aisi wordpress themes hoti hai jo post thumbnails ko automatically generate kar deti hai, matlab ki jo images hum apne blog post editor me add karte hai uske according feature image apne aap generate ho jaati hai.
Lekin agar hum aisi theme use kar rahe hai jo isko support nahi karti hai to usme hume manually hi post editor me thumbnail ko add karna padta hai.
WordPress Post Me Featured Image Kaise Add Kare
Agar aap apne wordpress blog ke article me manually featured image add karna chahte aur nahi janate ki kaise karte hai to niche diye gaye easy steps ko follow kare.
Step 1
Sabse pehle apne WordPress blog me login kare.
- Iske baad uss post ko open kare jisme featured image add karna chahte hai.
- Agar aap already wordpress post editor open kiya hai to yahapar Set featured images option par click kare.
Step 2
Iske baad ek popup window open hogi isme Upload Files option ko select karke Select files option par click kare.
Step 3
Ab apne computer ya laptop ki gallery se uss image ko select kare jise post thumbnails me add karna chahte hai.
- Gallery se Image select kare.
- Set featured image button par click kare.
Lijiye aapki wordpress blog post me featured image add ho gayi hai, post editor me thoda scroll down kare aur right side ya niche ki tarah aapki set ki gayi image ko aap dekh sakte hai.
WordPress article me featured image kaise add karte hai, i hope, ab aap samajh gaye honge, phir bhi koi saval ya sujhav ho to aap comment ke through humse share kar sakte hai, aur agar ye post helpfull lagi ho to isse social networking sites par apne friends ke sath share karna bilkul na bhule.