X
    Categories: WORDPRESS

WordPress Website Me Themes Kaise Upload Kare

WordPress website me themes kaise upload kare iss post me hum janenge, wordpress me blog banane ke baad jo sabse pehla kaam hota hai vo hai blog designing karna aur wordpress theme ko upload karke aap badi aasaani se apni website ko ek attractive aur professional look de sakte hai.

Agar aap wordpress par search karenge to aapko bahut si popular, featured aur latest themes mil jayegi jinko aap select karke free me apne blog par upload kar sakte hai, theme upload karke apne blog ko apne according design kar sakte hai.

WordPress Website M e Themes Kaise Upload Kare

WordPress blog par themes upload karna bahut hi simple aur easy hai, niche diye easy steps follow karke aap apni wordpress website me free themes upload kar sakte hai.

Step 1

Sabse pehle apne WordPress dashboard me login kare.

  1. Appearance option par touch kare.
  2. Themes par click kare.

Step 2

Iske baad next page me Add New Thems button par click kare.

Step 3

Ab next window me aapko bahut sari themes show hogi.

  • Jiss theme ko blog me add karna hai uss par click kare.

  1. Scroll down karke aap apne pasand ki Theme select kare.
  2. Aap chahe to search box me theme Search kar karke select kar sakte hai.
  3. Category ke according short karke bhi theme choose kar sakte hai, jaise ki featured, popular, latest etc.

Step 4

Ab jiss theme ko apne wordpress blog upload karna hai uspar mouse touch karenge to aapko do option show honge.

  1. Preview option par click karne se theme ke according aapki site ka look kaisa hoga, ye aap check kar sakte hai.
  2. Install button par click karke selected theme ko install kare.

Step 5

Install button par click karte hi kuch hi seconds me aapki theme installed ho jayegi.

  • Installed theme ko blog par upload karne ke liye Activate button par click kar dijiye.

 

Lijiye ab aapke wordpress blog me free theme upload ho gayi hai, ab apni site open karke check kar lijiye ki ye kaisi show ho rahi hai, ab aapko ise apne blog ke hisab se customize karna hai, iski jaankari aapko next post me mil jayegi.

So friends ab aap samajh gaye honge ki free wordpress thems use karte hai, apne wordpress website me thems upload kaise karte hai.

Aapko free wordpress themes upload karne se related ye jaankari kaisi lagi apne comment ke through feedback jarur dijiye, aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media par apne friends ke sath bhi share jarur karna.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More