WORDPRESS

WordPress Blog Me Live Chat Kaise Add Kare

WordPress blog me live chat kaise add kare iss post me hum janenge so agar aap ek blogger hai aur aapko blog wordpress platform par hai to aap easily live chat apni wordpress website me add kar sakte hai aur apne visitors se live chat kar sakte hai.

Bahut si aisi companies hao jo apni website me live chat ka use karti hai apne customers ko live chat ki facility provide karti hai jisse ko vo live chat ke through apni problem ki help le sake, for-example domain and hosting sites (godaddy, hostgator, hostinger etc) aur shopping sites (amazon, flipkart etc).

Thik issi tarah se aap bhi apni wordpress site me live chat add kar sakte hai aur apni audience ko khud se live chat karne ka ek option provide kar sakte hai agar aap apne visitors ke sath kisi problem se related chats ko enable karna chahte hai, apne wordpress blog me live chat kaise add karte hai iski puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.

WordPress Blog Me Live Chat Kaise Add Kare

1 Sabse pehle Google chrome open kare.

2 Iske baad Chrispchat.com URL open kare.

3 Ab chrisp chat ki site open hogi yahapar top right corner me Get started option par click kare.

4 Iske baad account create karne ke liye ek form open hoga isme apni information enter kare:-

  • Your first name me apna first name enter kare.
  • Your last name me apna sir name enter kare.
  • Type your email address me apni email id enter kare.
  • Enter a password ki field me apna new password create kare.
  • Terms and conditions ke check box par tick kare.
  • Continue option par click kar dijiye.

5 Ab next step me company detail enter karne ka option aayega yahapar:-

  • What is the name of your company ki field me apni website ka naam enter kare.
  • What is your company website ki field me apni website ka URL enter kare.
  • Continue option par click kar dijiye.

6 Iske baad chat box ko customize karne ka option aayega yahapar:-

  • Website icon par click karke aap website ka favicon change kar sakte hai.
  • Chatbox color option me kisi bhi color ko select karke chatbox ka color badal sakte hai.
  • Finally Continue option par click kar dijiye.

7 Iske baad aapka crisp chat account successfully create ho jayega aur crisp chat account ko wordpress account se connect karne ka option aa jayega:-

  • Yahapar ek html code milega isse copy kare aur fir wordpress ke editor section me head code ke niche paste kare.
  • Iske alawa agar dusra tarika use karna hai to yahapar WordPress option par click karke dusra method sikh sakte hai.
  • Otherwise yahapar aapko kuch nahi karna hai Next step follow karna hai.

8 Apne WordPress blog me login kare.

9 WordPress dashboard ke leftside menu me Plugins option par click kare

10 Iske baad New plugin option par click kare.

11 Ab search plugins box me Crisp live chat plugin likhkar search kare.

12 Iske baad search result me Crisp live chat and chatbot plugin ko Install karke Activate kare.

Lijiye aapka kaam ho gaya hai iske baad aapke wordpress blog me crisp live chat bot add ho jayega, iske baad koi bhi user aapki website me kisi post ko open karega to uss post ke bottom right corner me uss user ko ek message ka icon show hoga jispar click karke vo aapse live chat kar sakta hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki wordpress website me live chat kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.