Hello friends, agar aapka blog wordpress par hai aur apne blog par link ads lagane chahte hai to ye post aapke liye helpful ho sakti hai, kyuki aaj iss post ke madhyam se hum aapko batane jaa rahe hai ki wordpress blog par ad inserter plugins ka use kaise karte hai.
Blog me adsense link ads lagane ke liye aapko sabse pehle adsense me code generate karna hoga, aur ad inserter plugins ki help se paragraph ke upar ya niche ads insert karne honge, agar aapka google adsense me account nahi hai to pehle adsense account banaye uske baad link ads create kare.
Aapne bahut si website me link ads dekhe honge, agar nahi to niche diye gaye image me dekh sakte hai ki link ads kause hote hai, aur kaise dikhte hai.
WordPress Me Link Ads Lagane Ke Liye Ad Inserter Plugins Ka Use Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle wordpress dashboard me login kare.
- Plugins me click kare.
- Add New par click kare.
Step 2
Ab next window me sabse pehle ad inserter plugins ko install karna hai.
- Search box me ad inserter dalkar enter key dabaye.
- Search result me ad inserter plugins filter ho gaya hai, ab install now button par click kare.
Step 3
Ab aapke wordpress blog par ad inserter plugins install ho gaya hai, Activate button par click kare.
Step 4
Ab wapas wordpress dashboard me jaye.
- Settings me touch kare.
- Ad Inserter par click kare.
Step 5
Ab adsense me link ads generate karke code yaha par dalna hai, agar aapne link ads nahi banaya hai to pehle adsense link ads banaye, aur phir yaha paste kare.
- First block par click kare.
- Adsense link ads code box me dale.
- Adsense link ads ko paragraph se pehle ya baad me lagana chahte hai, iske liye before/after automatic display dropdown se select kare.
- Paragraph number dale, jiss para ke niche ya upar ads lagana hai.
- Save All Settings button par click kare.
Lijiye aapke blog par adsense link ads add ho gaya hai, issi tarah se aap teen alag alag blocks par link ads lagaye aur alag alag paragraph numbers dale.
Adsense ki ads policy ke according hum apne blog par teen link ads hi laga sakte hai, isliye aap sirf teen blocks ka use kar sakte hai aur teen paragraph me hi link ads laga sakte hai.
I hope ki aapko ad inserter plugins se related ye jaankari samajh me aayi hogi, agar phir bhi ko saval ya problem aaye to aap comment karke humse sidhe puch sakte hai, aur agar ye post acchi lagi ho aur aapko lage ki ye aapke dosto ke liye bhi helpful ho sakti hai to isse social networking sites par share bhi jarur kare.
View Comments (4)
thanks sir.
very good information
thanks
very nice post sir...
thanks