Without Internet Connection Gmail Use Kaise Kare
Without internet connection gmail use kaise karte hai iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap janana chahte hai ki bina internet connection ke gmail kaise use karte hai. Ya data pack khatm ho jane par google gmail account kaise open karte hai to iss post ko dhyan se padhe.
Kisi din aisa bhi ho sakta hai ki aapko apni important emails check karni ho aur aapka data pack samampt ho jaye. Ya fir aap kisi aisi location me hai jaha internet connection hi available nahi hai. Aur aapko apna google gmail account use karna hai. Aise me without internet connection gmail use karne ki ye trick aapke kafi kaam aane wali hai.
Without Internet Connection Gmail Use Kaise Kare
Bina internet connection ke gmail use karna bahut hi easy hai. Iske liye bus aapko niche diye kuch simple steps follow karne hai. Jiske baad aap bina net ke gmail istemal kar sakte hai.
Iss trick me hum gmail offline extension ko download kar without internet connection gmail use karne ke bare me janenge. Ye extension allow karta hai google gmail ko offline use karne ke liye. To chaliye ab steps by step jaan lete hai ki without internet gmail use kaise karte hai.
Step 1
Sabse pehle computer me google chrome browser open kare aur gmail offline extension ko install kar lijiye.
Step 2
Gmail offline extension install ho jane ke baad ab iss link https://mail.google.com/mail/mu/mp/212/?mui=ca#se ko chrome browser me open kare.
- Allow offline mail ke tick box par tick kare.
- Continue ke button par click kare.
Continue button par click karte hi aapka gmail account offline mode me open ho jayega. Aur ab aap without data connection ke apna google gmail account use kar sakte hai.
Iss tarah se aap bina internet connection ya net pack khatm hone ke baad bhi gmail offline use kar sakte ho. Gmail offline use karne me ek baat ka dhyan rakhe ki isse ghar me apne computer par hi try kare. Kyuki security reason se cyber cafe me google gmail offline ka istemal karna sahi nahi hoga.
- Gmail Ki Background Theme Ko Kaise Change Kare
- Gmail User Id Ko Change Kaise Kare
- Google Gmail Account Ko Delete Kaise Kare
Ab aap samajh hi gaye honge ki without internet connection gmail use kaise karte hai. Iss janakari se related aapka koi saval hoto comment jarur kare. Aur agar gmail offline use karne ki ye jankari helpful lage to apne dosto ke sath bhi share jarur kare.
Without internet connection gmail use karne ki bahu hi achi jankari share ki hai ramesh ji aapne
thanks