WhatsApp Status Download Kaise Kare Gallery Me
How to download whatsapp status in your mobile gallery yani ki whatsapp status download kaise kare gallery me iss post me hum janenge so agar aap apne friends ke whatsapp status ko apni mobile gallery me download karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Whatsapp status ko aap easily apni phone ki gallery me save kar sakte hai, iske liye aapko koi bhi third party app download karne ki bhi jarurat nahi padegi bina kisi app ko download kare hi aap whatsapp status gallery me save kar sakte hai, whatsapp status ko gallery me download karne ke liye niche diye steps follow kare.
WhatsApp Status Download Kaise Kare Gallery Me
1 Sabse pehle Whatsapp open kare.
2 Iske baad Updates tab par click kare.
3 Ab unn friends ke Status open karke dekhe jinhe download karna hai.
4 Iske baad File manager open kare.
5 File manager me Internal storage option par click kare.
6 Internal storage ke under Android option par click kare.
7 Android option me Media option par click kare.
8 Media option me Com.whatsapp option par click kare.
9 Com.whatsapp ke under Whatsapp option par click kare.
10 Whatsapp option ke under Media option par click kare.
11 Iske baad Statuses option par click kare.
- Iske baad next interface me vo sabhi whatsapp status aapke samne aayenge jinhe aapne dekkha hoga.
- Inme se jiss status ko gallery me download karna hai usse open kare.
12 Iske baad bottom side me Restore option par click kare.
13 Ab finally Restsore 1 file option par click kar dijiye.
Iske baad selected whatsapp status aapki mobile gallery me download ho jayega aur ab aap apni gallery ko open karke sabhi downloaded whatsapp status ko dekh sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp status ko mobile gallery me download kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.