WhatsApp Se Logout Kaise Kare – How to Stop Whatsapp Temporarily
Whatsapp se logout kaise kare iss post me hum janenge, agar aap whatsapp ka use karte hai aur kuch dino ke liye whatsapp ko disable karna chahte hai to iss post me jo tarika mein aapko batane wala hu iske through aap easily apne whatsapp account ek tarah se log out kar sakte hai yani ki whatsapp ko disable kar sakte hai.
Other social sites jaise ki facebook, twitter, instagram etc par users jab chahe tab login or logout kar sakte hai lekin whatsapp me aisa koi option available nahi hai jiske through whatsapp users apne account se logout kar sake, isliye agar aap apne whatsapp account ko temporarily disable karna chahte hai to niche diye steps ko follow kare.
WhatsApp Se Logout Kaise Kare – How to Stop Whatsapp Temporarily
1Sabse pehle apne phone ki Settings open kare.
2 Phone settings me App manager option par click kare.
3 Ab bottom side me scroll karke Whatsapp option par click kare.
4 Iske baad Data usage details option par click kare.
5 Ab kuch options aayenge to yahapar:-
- Disable mobile data option ko disable kare.
- Disable Wi Fi option ko bhi disable kare.
- Backgroun data option ko Enable kare.
6 Ab whatsapp open karte hi Popup open hoga to popup me Keep disable option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab whatsapp par aapke friends aapko message bhejenge to vo messages aapko receive nahi honge aur agar aap bhi kisi friend ko message bhejenge to vo bhi send nahi hoga, iss tarah se aap easily apne whatsapp ko kuch time ke liye logout kar sakte hai.
I hope, whatsapp se logout yani ki temporarily disable kaise karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Useful and informative article. I really appreciate your work. Thanks for sharing.