WhatsApp Profile Photo Jisko Chaho Usko Dikhao
WhatsApp profile photo jisko chaho usko dikhao aaj iss post me mein iske bare me aapko bataunga so agar aap whatsapp user hai aur apni whatsapp dp ko kuch selected friends se hide karna chahte hai to iss post me bataye steps ko follow jarur kare.
Ab whatsapp ne ek new update ko roll out kiya hai jiske through aap apni profile picture ko kisi bhi contact se chhupa sakte hai, whatsapp ki privacy settings me ye latest update aapko dekhne ko mil jayega.
WhatsApp profile photo by default public hoti hai jisse koi bhi user dekh sakta hai lekin aap apni public display picture ko only apne contacts ko show kar sakte hai ya fir publicly hide kar sakte hai.
Lekin ab new update ke baad aapko privacy settings me ek new feature dekhne ko mil jayega jiski help se aap apni contact list se jitne bhi friends ko select karenge vo sabhi selected friends aapki whatsapp profile photo nahi dekh payenge.
Iss tarah se ab aap apne according jisse chahe apni whatsapp dp dikha sakte hai aur jisse chahe usse chupa sakte hai iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step iss post me janate hai,
WhatsApp Profile Photo Jisko Chaho Usko Dikhao
1 Sabse pehle Google play store open kare aur apna whatsapp update kar lijiye.
2 Iske baad WhatsApp open kare aur top right corner me 3 dots par click kare.
3 Ab next interface me Account option par click kare.
4 Iske baad Privacy option par click kare.
5 Ab privacy settings me Profile photo option par click kare.
6 Profile photo option par click karte hi aapko new update dekhne ko mil jayega yahapar,
- Everyone option by default selected hota hai jisse ki aapki profile picture publicly koi bhi user dekh sakta hai.
- My contacts option ko select karne par sirf aapke contacts hi dekh payenge.
- Nobody option select karne par koi bhi aapki whatsapp dp nahi dekh sakta hai.
- My contacts except ka new option ab aapko yahapar milega jispar click karke apni contact list se jitne bhi contacts ko aap select karenge vo sabhi aapki profile photo nahi dekh payenge.
Iss tarah se apni profile photo ki privacy par aapko aur jyada control mil jayega aur aap khud decide kar sakte hai ki aapki profile picture kaun dekh sakta hai aur kaun nahi.
I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp profile photo ko kuch selected friends se kaise hide kar sakte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.