WHATSAPP

WhatsApp Privacy Ki A to Z Settings Sikhe

WhatsApp privacy ki a to z settings iss post me hum janenge so agar aap whatsapp user hai aur whatsapp ki all privacy features ki jankari pana chahte hai to iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.

Agar aap apne whatsapp account par privacy ad karna chahte hai to aapko whatsapp ki all privacy settings ke bare me pata hona chahiye tabhi aap whatsapp ki sabhi privacy settings ko apne according customize karke use kar sakte hai.

WhatsApp par aap kai tarah ki privacy apne account par add kar sakte hai jaise ki last seen or profile photo hide kar sakte hai, status ya fir about ko public or private kar sakte hai iske alawa bhi kai tarah se aap privacy setup kar sakte hai.

Lekin apne whatsapp account par kisi bhi tarah ki privacy add karne se pehle aapko iski jankari honi chahiye aur sabhi privacy features ko apne according manage karne ke bare me aapko pata hona chahiye, agar aap nahi jante to niche diye steps follow kare.

WhatsApp Privacy Ki A to Z Settings Sikhe

1 Sabse pehle WhatsApp open kare.

2 Ab top right corner me 3 dots par click kare.

3 Iske baad Settings option par click kare.

4 Ab settings page me Account option par click kare.

5 Account settings me Privacy option par click kare.

Ab next interface me WhatsApp ki sabhi privacy settings aapke samne aa jayengi to whatsapp ki all privacy features ko aap kaise manage kar sakte hai chaliye one by one karke janate hai.

Last Seen

Last seen option par click karte hi ek popup open hoga isme.

  • Everyone option by default selected rehta hai jisse ki whatsapp par publicly aapka last seen sabhi users dekh sakte hai.
  • My contacts option agar aap select karte hai to sirf aapke contacts hi aapka last seen dekh payenge.
  • Nobody option select kar lijiye agar aap apna whatsapp last seen hide karna chahte hai. Iss option ko select karne par koi bhi user aapka last seen nahi dekh payega.

Profile Photo

Same setting aap profile photo ke liye bhi customize kar sakte hai profile photo option par click karne par bhi ek popup open hoga jisme.

  • Everyone option select karne par koi bhi aapki whatsapp profile picture dekh sakta hai.
  • My contacts option select karne par sirf aapke contacts hi dekh payenge.
  • Nobody option select karne par koi bhi user aapki DP nahi dekh payega.

About

Last seen aur profile picture ki tarah hi aap apne about par bhi privacy add kar sakte hai jo kuch bhi aap apne about status me add karte hai jaise ki (Available, busy, at work, in a meeting, at the gym, etc) inhe aap apne according public or private kar sakte hai yahapr bhi.

  • Everyone option ko select karke aap apna about sabhi ko show kar sakte hai.
  • My contacts option select karke sir apne contacts ko show kar sakte hai.
  • Nobody option select kar lijiye agar apna whatsapp about sabhi se hide karna hai 

Status

WhatsApp par agar aap status upload karte hai to apne status par bhi aap privacy laga sakte hai aur apne whatsapp status ko public ya private kar sakte hai ya fir kuch perticular users se hide bhi kar sakte hai.

  • My contacts option by default selected hota hai jisse ki aapka whatsapp status sirf aapke contacts hi dekh sakte hai baki other users jo aapki contact list me add nahi hai vo aapka status nahi dekh sakte hai.
  • My contacts except option ko select karne par aapki contact list open ho jayegi aur fir apni contact list se aap jitne bhi users ko select karenge vo sabhi selected users aapka whatsapp status nahi dekh payenge.
  • Only share with option ko select karne par bhi aapki contact list open hogi to contact list se aap jitne bhi users ko select karenge sir vi hi selected contacts aapka whatsapp status dek sakenge baki other users ko aapka whatsapp status show nahi hoga 

Read Receipts

Read receipts option ke samne toggle button by default enable rehta hai jisse hota ye hai ki jab bhi aap kisi friend ke send message ko dekh lete hai to sender ke message par usse double blue tick show ho jata hai.

Thik issi tarah se agar aap kisi friend ka whatsapp status dekh lete hai to usse bhi status viewer list me aapka name sho ho jata hai 

Aise me samne wale ko pata chal jata hai ki aapke uska bheja hua message padh liya hai ya status dekh liya hai.

Ab agar aap read receipts option e samne toggle button ko disable kar dete hai to iske baad aap kisi bhi friend ke bheje huye message ko padhenge to uske message par blue tick usse show nahi hoga.

Aur kisi bhi friend ke status ko dekhne par bhi status viewer list me aapka profile name bhi show nahi karega.

Lekin iske baad aap bhi apne bheje huye read message par double blue tick nahi dekh payenge aur aapki whatsapp status ko kis kisne dekha ye aapko bhi show nahi hoga.

Default Message Timer

Iss option ke through aap disappearing message feature ko enable kar sakte hai yani ki sabhi new chats me apne bheje huye messages ko automatically delete kar sakte hai.

Iske alawa agar aapko pehle ki chats me message disappear karna hai to aap uss friend ka profile open karke perticular uss friend ke liye disappearing messages feature ko on kar sakte hai.

  • 24 hours option ko select karne ke baad jab bhi aap whatsapp par kisi bhi friend ko first time koi message bhejenge to aapke message bhejne ke 24 hours ke baad aapka message apne aap delete ho jayega.
  • 7 days option select karne par 7 dino me bheja hua message auto delete ho jayega.
  • 90 days option select karne par 90 dino ke baad aapka bheja message automatically remove ho jayega.
  • Off option ko select karke aap disappearing message feature ko kabhi bhi disable kar sakte hai.

Groups

Groups option ke through aap ye setting kar sakte hai ki whatsapp par kaun kaun se users aapko group banakar usme add kar sakte hai.

  • Everyone option select karne par whatsapp par koi bhi user aapko group create karke usme aapko add kar sakta hai.
  • My contacts option select karne par sirf aapke contacts hi group banakar aapko add kar sakte hai.
  • My contacts except option ko select karne par aapki contact list open hogi so isme se aap jitne bhi friends ko select karenge sirf vo hi aapko group banakar add kar sakte hai baki other users nahi kar sakte hai.

Live Location

Live location option par click karke aap unn sabhi locations maps ko dekh sakte hai jo aapne kisi chat me share kiye honge ya aapko kisi friend ne bheje honge.

Agar aapne apni live location kisi ko share nahi ki ya kisi other friend ne apni live location aapko share nahi ki hai to aapko yahapar blank page hi show hoga.

Blocked Contacts

Iss option par click karke aap unn sabhi users ki list dekh sakte hai jinhe aapne whatsapp par block kiya hoga, aur agar wapas kisi user ko unblock karna hai to aapko blocked list me uss perticular contact par click karna hoga jiske baad unblock option par click karke aap wapas blocked person ko unblock kar sakte hai.

Fingerprint Lock

Fingerprint lock enable karke aap whatsapp ki security ko aur bhi jyada strong band sakte hai kyuki aise me koi bhi aapke fingerprint ke bina aapke whatsapp account ko access nahi kar payega, apne whatsapp par fingerprint add karne ke liye niche diye steps follow kare.

  • Sabse pehle Fingerprint lock option par click karke Unlock with fingerprint option ko enable kare.
  • Iske baad Set up fingerprint ka ek popup open hoga to isme OK option par click kare.
  • Ab apne phone ki settings page me password and biometrics option par click kare.
  • Iske baad add fingerprint option par click karke pehle apne fingerprints ko add kar lijiye.
  • Fingerprint add ho jane ke baad wapas whatsapp open kare aur Unlock with fingerprint option ko enable kar dijiye.
  • Iske baad aapka whatsapp bina aapke fingerprint ke open nahi hoga.

Iss tarah se aap apne whatsapp account par privacy add kar sakte hai aur whatsapp privacy ke sabhi features ko apne according customize karke use kar sakte hai.

I hope aap whatsapp privacy ke sabhi a to z settings aur features ke bare me acchi tarah se samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.