WHATSAPP

WhatsApp Pay Kya Hai Kaise Istemal Kare – How to Use Whatsapp Payment

Whatsapp pay kya hai aur whatsapp pay kaise use karte hai aaj iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap whatsapp user hai to aapko iss new update ke bare me jarur pata hona chahiye, aur whatsapp pay kaise use karna hai iski jankari bhi aapko honi chahiye.

WhatsApp Pay Kya Hai

Whatsapp pay ek in chat payment feature hai jiske through users whatsapp me apne kisi bhi friend ko money transfer kar sakte hai, yeh ek UPI based payment service hai jiske through aap apne whatsapp account par kisi bhi chat me paise bhej sakte hai aur receive bhi kar sakte hai.

Whatsapp payment ke through ab users apne UPI enabled bank accounts ko apne whatsapp account se link kar sakte hai aur apni contact ko money send receive kar sakte hai.

WhatsApp Pay Kya Hai Kaise Istemal Kare – How to Use Whatsapp Payment

Iss feature ka use karne ke liye aapko sabse pehle google playstore me jakar apne whatsapp app ko update kar lena hai, jiske baad aako whatsapp account me Payment feature update ho jayega aur aap easily whatsapp payment feature ka use kar sakte hai. Baki aagey ki process follow karne ke liye niche diye stesp follow kare.

1 Sabse pehle whatsapp open kare aur top right corner me 3 dots par click kare.

2 Ab jo options aayenge inme aapko Payment option show ho jayega, iss option par click kare.

3 Next interface me Add payment method option par click kare.

4 Ab terms and conditions accept karne ko kaha jayega to Accept & continue button par click kare.

5 Iske baad aapke samne alag alag banks ki list aayegi to isme apne Bank ko select kare.

6 Ab next interface me aapka registered mobile number verify karne ko pucha jayega to yahapar Verify via SMS ke button par click kare. Dhyan rahe aapka whatsapp number aur bank me registered number ek hi hona chahiye.

7 Iske baad jo pupups open hone unme aapko Allow par click karna hai.

8 Ab Sim 1 ya Sim 2 Select karne ka option aayega to apni Sim Select Kare.

9 Iske baad aapka Bank account Number aayega to isse select kare.

10 Ab aapka bank account whatsapp se link ho jayega, finally yahapar Done button par click kare.

Whataspp Payment Ke Through Paise Kaise Bheje

Whatapp par payment method enable ho jane ke baad ab aap kisi ki UPI id par paise send kar sakte hai, QR code scan karke paytm ki tarah payment kar sakte hai aur apne kisi bhi whatsapp contact ko money transfer kar sakte hai. 

Whatsapp chat me payment karne ke liye aapko apne uss friend ki chat open karni hai, iske baad message bar me attachment icon par click karenge to aapko payment ka option mil jayega.

Payment option par click karke jitni amount bhejna chahte hai usse type kare aur send button par click kar dijiye. Payment ke sath aap koi remark bhi likh sakte hai.

I hope aapko whatapp pay kya hai aur kaise istemal kare ye jankar helpful lagi hogi agar post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

3 thoughts on “WhatsApp Pay Kya Hai Kaise Istemal Kare – How to Use Whatsapp Payment

    • Abhi ye feature sirf beta version ke liye rollout kiya gaya hai jaldi hi aapko bhi mil jayega

      Reply
  • आपने बोहोत अच्छी जानकारी शेयर की है। मैं हमेशा आपका ब्लॉग पढता रहता हूँ। आप ऐसे ही जानकारी हमें देते रहें।

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.