WHATSAPP

Whatsapp Par Government Document Download Kaise Kare

Whatsapp par government document download kaise kare iss post me hum janenge so agar aapne government portal digilocker me apne documents ko upload kiya hua hai to aap whatsapp ke through apne sabhi documents ko access kar sakte hai iske liye aapko niche bataye easy steps ko follow karna hoga.

Digilocker ek government authorised digital locker hai jisse 2015 me launch Kiya gaya tha digilocker ka use aap apne sabhi important documents ko online portal par save karne ke liye kar sakte hai jaise ki pan card, aadhar card, driving licence, cbse class passing certificate, insurance policy, vaccine certificate vehicle registration certificate ke sath sath aur bhi documents ko aap digilocker me save kar sakte hai.

Digilocker me apne sabhi jaruri documents upload karne ke baad uploaded documents ko kabhi bhi aur kahi se open karke dekh sakte hai use kar sakte hai, google playstore me aapko digilocker name se ek application mil jayegi jisse aap download karke apna registration kar sakte hai aur apne sabhi jaruri documents ko upload kar sakte hai.

Lekin ab aapko digilocker app ko install karne ki jarurat nahi padegi aap whatsapp ke through bhi digilocker ka use kar sakte hai digilocker me registration kar sakte apne sabhi documents ko upload kar sakte hai iske liye aapko kya karna hai chaliye ab step by step janate hai.

Whatsapp Par Government Document Download Kaise Kare

1 Sabse pehle 90131 51515 iss number ko apni contact list me add kare.

2 Iske baad whatsapp open karke Saved number ko find karke Chat open kare.

3 Ab chat open karne ke baad Hi message type karke send kare.

4 Iske baad aapke message ka reply aayega to isme Digilocker services option par click kare.

5 Ab aapke samne 3 options aayenge agar aapne already digilocker me signup kiya hai to Yes option par click kare otherwise No option par click karke aap digilocker me apna signup kar sakte hai.

6 Iske baad aadhar card enter karne ka message aayega to apna Aadhar card number enter karke send kare.

7 Iske baad aapke aadhar se linked phone number par ek OTP aayega jisse aapko enter karke send karna hai.

8 OTP send karte hi ek aur message popup hoga jisme Aadhar option par click karke aap apne aadhar card ki information dekh sakte hai.

9 Agar aapko other documents ki detail check karni hai to aadhar option ko jagah par Issue option par click kare.

10 Click karte hi sabhi uploaded documents ki list ka message popup hoga jisme seriel wise documents ki list hogi, jiss document ko aap dekhna chahte hai usme samne ke seriel number ko enter karke send kare.

Document number send karte hi aapke samne usse related document open ho jayega, iss tarah se aap easily whatsapp ke through digilocker access kar sakte hai aur apne sabhi saved documents ko dekh sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp ke through digilocker ko kaise access kar sakte hai aur apne government documents ki detail kaise check kar sakte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.