WhatsApp Par Block Kiya Hai Kaise Pata Kare
How to check if someone blocked you on whatsapp yani ki whatsapp par block kiya hai kaise pata kare iss post me hum janenge.
Agar whatsapp par aapko kisi ne block kiya hai to kuch indications aapko dikhte hai jinke through aap aasani se pata laga sakte hai ki aap whatsapp par blocked hai ya nahi.
Halanki niche diye indications se aap ye pata laga sakte hai ki whatapp par aap blocked hai ya nahi, lekin kabhi kabhi ye sabhi sanket network error ki vajah se bhi show ho sakte hai.
Ya fir agar block karne wale person ne apne whatsapp ki privacy settings ko customize kiya ho to bhi aapko iss tarah ke indications show ho sakte hai.
Lekin last wali trick se aap 100% confirm kar sakte hai ki whatapp par aapko kisi ne block kiya hai ya nahi, whatsapp par block kiya hai ye check karne ke liye ye post end tak dhyan se padhe.
- Whatsapp Business Account Ko Facebook Page Se Kaise Connect Kare
- Apna Whatsapp Chat Backup Hack Hone se Kaise Bachaye
WhatsApp Par Block Kiya Hai Kaise Pata Kare
Single Tick on Sent Message
Whatsapp me block karne wale person ko message bhejne par aapke sent message par single tick show hoga, double tick message par nahi lagega.
Hide Profile Picture
Whatsapp par block karne wale personal ki profile picture bhi aapko show nahi hogi, agar haal hi me block kiya hai to kuch time tak aapko uski whatsapp dp show hogi.
Aise me agar aap abhi uska info page open karke profile photo par click karenge to block karne wale ki profile pic aapko show nahi ho, aapke liye uski profile picture remove ho jayegi.
Hide Status Update
Block karne wale person ka status update bhi aapko show nahi hoga.
Disable Whatsapp Calls
Agar aap block karne wale contact ko whatsapp audio call karenge ya whatsapp video call karenge to aapko call usse nahi milengi.
Halanki aapko apni outgoing call par ringtone sunayi deti rahegi lekin block karne wale ko aapki call ki notification bhi nahi milegi.
Hide Online Status & Last Seen
Whatsapp par jisne aapko block kiya hai uska online status aur last seen time bhi aapko show nahi hoga aur sath hi uska about bhi nahi dikhayi dega.
Ye kuch indications hai jinse aap ek idea laga sakte hai ki kisi ne whatsapp par aapko block kar diya hai lekin aisa kisi aur vajah se bhi ho sakta hai. Aise me 100% confirm karne ke liye ki aap whatsapp par blocked hai ya nahi niche diye steps ko follow kare.
1 Sabse pehle apna Whatsapp open kare.
2 Iske baad top right corner me 3 dots par click kare.
3 Ab jo options aayenge inme New group option par click kare.
- Iske baad apni whatsapp contact list se uss Contact ko select kare jispar block karne ka doubt hai.
- Contact select karne ke baad bottom right corner me Right aero icon par click kare.
4 Iske baad Group name enter karke Checkmark icon par click kar dijiye.
Ab agar ek popup me Couldn’t add contact ka message aapko show hota hai to ye confirm hai ki select contact ne aapko whatsapp par block kar diya hai.
Block karne wala person aapke iss new group me add nahi hoga, agar aap group info page me member section me aayenge to yahapar group admin ke taur par sirf aap hi add honge.
Iss tarah se aap pata laga sakte hai ki whatsapp par aapko kisi ne block kiya hai ya nahi, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.