Whatsapp ka internet connection disable kaise kare iss post me hum janenge so agar aap whatsapp use karte hai aur apne whatsapp account ke data connection ko turn off karna chahte hai aur nahi janate ki phone ka intenet connection enable hote huye only whatsapp ka net kaise turn off karte hai to iss post ko dhyan se jarur padhe.
Agar aap apne phone me kuch jarur kaam karte hai aur aise me aap whatsapp ke through milne wale messages se disturb ho jate hai to iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iske through aap easily sirf or sirf apne whatsapp account par apne intenet access ko disconnect kar sakte hai, agar aap nahi janate ki kaise karte hai to niche bataye easy steps follow kare.
WhatsApp Ka Intenet Connection Disable Kaise Kare
Method 1
1 Sabse pehle apne Phone settings ko open kare.
2 Iske baad settings page me Digital wellbeing and parental controls option par click kare.
3 Ab next interface me Focus mode option par click kare.
4 Iske baad aapke phone ki sabhi applications ki list open hogi to inme Whatsapp ko select kare.
5 Ab top side me Turn on now option par click kar dijiye.
Iske baad aapke whatsapp ka data disable ho jayega aur aapke mobile me internet connection on hote huye bhi whatsapp par intenet kaam nahi karega.
Agar wapas focus mode ko disable karna hai to yahapar Turn off now option par click karke aap fir se apne whatsapp ka data access enable kar sakte hai.
Agar aapke phone me focus mode setting aapko nahi milti hai to iske liye aap niche diye gaye second method ka use karke apne whatapp ka net turn off kar sakte hai.
Mothod 2
1 Sabse pehle apne phone ki Settings page me jaye.
2 Iske baad App manager option par click kare.
3 Ab aapke phone ki sabhi applications ki list open hogi to inme Whatsapp option par click kare.
4 Iske baad Data usage details option par click kare.
5 Ab next interface me whatsapp data usage ko control karne ke options open honge.
- Disable mobile data option ko enable kar dijiye agar mobile data se whatsapp use karte hai.
- Disable Wi-Fi option ko enable kare agar wifi se whatsapp chalate hai.
- Background data option ko bhi disable kar dijiye.
Iske baad aapke whatsapp me data connection disable ho jayega aur ab kisi bhi friend ka message ya whatapp call aapke whatapp me nahi aayegi, aur aap bhi apne end se kisi ko message or call nahi kar sakte hai. Inn sabhi options ko wapas enable karke aap fir se apne whatsapp ka internet turn on kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki only whatsapp ka internet access kaise disable karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.
Video Dekhe
View Comments (2)
knowledgeable content
Very helpfull information sir thank a lot for this information