Whatsapp group ko signal app me transfer kaise kare aaj ki iss post me mein aapko bataunga. Agar aap february 2021 se update hone ja rahi whatsapp ki new privacy policy ko lekar pareshan hai aur apna whatsapp delete karna chahte hai, to ab aap apne whatsapp friends aur groups ko signal app par move kar sakte hai.
Signal app ek cross platform encrypted messaging service hai aur whatsapp se more secure aur more safer hai. Signal ki khas baat ye hai ki isme users ki privacy ka khas khyal rakha gaya hai aur isme bhi aapko whatsapp jaise features milte hai balki signal app, whatsapp se jyada easy to use application hai. Isliye whatsapp ke privacy policy bawal ke baad log signal app par move ho rahe hai.
Whatsapp Group Ko Signal App Me Transfer Kaise Kare
Whatsapp group ko signal app par move karna bahut hi easy aur simple hai, iske liye niche diye gaye easy steps ko follow karna hai, whatsapp group ko signal app me move kaise kare chaliye step by steps janate hai.
1 Sabse pehle Signal app open kare.
2 Ab top right corner me 3 vertical dots par click kare.
3 Iske baad New group option par click kare.
4 Ab signal app ki friend list open hogi to yaha se koi bhi ek Contact select kare aur blue Aero icon par click kare.
5 Iske baad next interface me Group name enter kare aur Create button par click kar dijiye.
6 Group create hone ke baad usse open kare aur top side me Group name par click kare.
7 Ab kuch options aayenge to yahapar Group link ke samne Off option par click kare.
8 Iske baad next interface me Group link ke samne Toggle button enable kare.
9 Ab niche option highlight ho jayenge to inme Share option par click kare.
10 Iske baad bottom side me kuch option aayenge to yahapar Share option par click kare.
11 Ab alag alag sharing options aayenge to inme Whatsapp select kare.
12 Iske baad whatsapp chat list open ho jayegi to apne Whatsapp group ko select karke link send kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke whatsapp group me jitne bhi members hai vo group me shared signal group ke link par click karke group join kar sakte hai aur aapka pura whatsapp group signal par move kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp group ko signal app par transfer kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.