WHATSAPP

Whatsapp Group New Update – Approve New Participants

Whatsapp group new update ke bare me iss post me hu janenge whatsapp ne haal hi me ek new update rolled out kiya hai approve new participants jiske through aap apne whatsapp group ki privacy ko control kar sakte hai aur group invitation link ke through whatsapp group me members ko automatically join hone se rok sakte hai.

Aapke whatsapp group ka link ke through koi bhi user aapke group ko directly join kar sakta hai lekin whatsapp ka ye new update aane ke baad agar koi bhi aapke group link par click karke join karega to vo direct group me add nahi ho payega uski group joining request aapko milegi.

Aur jab tak aap uss user ki group joining request ko approve nahi kar dete hai tab vo user aapke group me add nahi ho payega, iss tarah se aap jisse chahe usse group join karwa sakte hai aur jisse chahe uski joining request ko cancel kar sakte hai.

Halanki approve new participants new update filhal whatsapp ke beta users ke liye roll out kiya gaya hai lekin aane wale kuch dino ke baad iss new whatsapp update ko sabhi users ke liye roll out kar diya jayega isliye agar aapko ye new update abhi nahi mila ho to kuch din aur wait kar lijiye, to chaliye start karte hai aur janate hai whatsapp ke iss new update approve new participants ke bare me.

Whatsapp Group New Update – Approve New Participants

1 Sabse pehle Google playstore open kare.

2 Iske baad apna Whatsapp update kare.

3 Update karne ke baad Whatsapp open kare.

4 Ab apne Whatsapp group ko open kare.

5 Iske baad top side me Group name par click kare.

6 Ab group info page me Group settings option par click kare.

7 Iske baad aapke samne new whatsapp update aa jayega yahahpar Approve new participants option par click kare.

8 Ab ek popup open hoga isme On option ko select karke Ok option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab iske baad aap kisi bhi social media site par apne whatsapp group ka link share karenge to uss link par click karke directly koi bhi aapka group join nahi kar payega.

Jaise hi koi user aapka group join karega uski joining request aapke whatapp me aapko milegi, whatsapp grop open karte hi top side me joining request aapko show hogi jisme review option par click karke aap uss request ko review kar sakte hai.

Agar uss user ko group me add nahi karna chahte hai to cross icon par click karke uski joining request ko cancel kar sakte hai, aur agar member add karna hai to checkmark icon par click karke uss users ki group joining request ko approve kar sakte hai.

I hope whatsapp new update ke iss tutorial me approve new participants option ke bare me aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.