X
    Categories: WHATSAPP

WhatsApp Chats Feature Ki A to Z Settings Sikhe

Whatsapp chats feature ki a to z settings ki jankari iss post me hum janenge so agar aap whatsapp user hai aur whatsapp ke chats feature ki all settings ko customize karke use karne ki jankari pana chahte hai to iss post ko end tak dhyan se padhe.

Bahut se users hai jo whatsapp to use karte hai lekin chats feature ko apne according manage karne ke bare me nahi janate hai so agar aap bhi unme se ek hai aur whatsapp chats feature ki full settings ko use karne ke bare me janana chahte hai to niche diye easy steps ko follow kare.

WhatsApp Chats Feature Ki A to Z Settings Sikhe

1 Sabse pehle WhatsApp open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 vertical dots par click kare.

3 Ab kuch options aayenge to inme Settings option par click kare.

4 WhatsApp ki settings page me Chats option par click kare.

Chats feature par click karte hi whatsapp ki all settings aapke samne aa jayengi to chaliye inn sabhi chats settings ke bare me one by one karke janate hai.

Theme

Theme option par click karte hi ek popup open hoga jisme.

  • System default option by default selected hota hai jisse ki whatsapp ki theme mobile setting ke according light aur dark hoti hai.
  • Light option ko select kar dete hai to aapke whatsapp ki theme always light hi rahegi chahe aap apne phone me dark mode ko enable kare ya nahi.
  • Dark option ko select karne par always whatsapp theme dark hi rahegi.

Wallpaper

Wallpaper option par click karke aap whatsapp chat screen ka background color change kar sakte hai.

Wallpaper change karne ke baad sabhi friends ki chat screen ka color badal jayega sabhi chat screen ke background me aapka selected wallpaper add ho jayega.

Iske liye wallpaper option par click karke aapko change option par click karna hoga jiske baad 4 options aayenge.

  • Bright option par click karke aapko bahut se light wallpapers show ho jayenge to inme se kisi ko bhi select karke aap use whatsapp chat screen ke background ke taur par use kar sakte hai.
  • Dark option par click karke sabhi dark mode wale wallpapers aa jayenge to unhe whatsapp wallpaper ke taur par use kar sakte hai.
  • Solid color option par click karke aap kai tarah ke alag alag solid colors ko chat background ke taur par use kar sakte hai.
  • My photos option par click karke aap apni mobile gallery ki kisi bhi photo ko whatsapp wallpaper me add kar sakte hai.
  • Default wallpaper option par click karke aap kabhi bhi customized wallpaper ko remove karke pehle jaisa default wallpaper set kar sakte hai.

Chat settings

  • Enter is send option ke samne toggle button ko enable kar denge to kisi bhi chat me message send karne ke liye aap enter key ka use bhi kar sakte hai.
  • Media visibility option by default enable rehta hai jisse ki whatsapp par milne wali sabhi media (photo, video, documents) automatically mobile gallery me bhi save ho jati hai agar aap iss option ko disable kar dete hai to received media gallery me download nahi hogi.
  • Font size option par click karke aap whatsapp ka font size small, medium aur large me set kar sakte hai.

Archived chats

Keep chats archived option by default disable rehta hai jisse ki jis kisi friend ki chat ko agar aap archive karte hai to uss friend ke dubara message bhejte hi uski chat wapas unarchive ho jati hai.

Agar aap chahte hai ki archived chat hamesha archive rahe to keep chat archived option ko enable kar dijiye.

App language

App language option par click karke aap whatsapp ki language change kar sakte hai yahapar kuch selected languages aapko show ho jayengi jinme se kisi ko bhi select karke aap whatsapp ke interface ki language badal sakte hai.

Chat backup

Chat backup option par click karke aap apne google account ko add karke google drive par whatsapp ka backup upload kar sakte hai iss option par click karte hi kuch options aayenge to inme.

  • Last backup option me aap google drive par uploaded last backup ka time dekh sakte hai.
  • Backup button par click karke whatsapp ka backup upload kar sakte hai.
  • Backup to google drive option par click karenge to ek popup open hoga to isme
  • Never option select karne par backup automatically upload nahi hoga.
  • Only when I tap “Backup” option select karne par jab bhi aap button par tap karenge tabhi backup upload hoga.
  • Daily option select karne par daily ke daily automatically whatsapp backup google drive par upload ho jayega.
  • Weekly option select karne par har hafte auto backup upload hoga aur.
  • Monthly option select karne par har mahine automatically whatsapp ka backup google drive par upload ho jayega.
  • Google account option par click karke aap apne google account ko whatsapp se link kar sakte hai.
  • Backup over option par click karke aap wifi ya wifi aur mobile data dono me se koi ek option select karke uss network par backup upload kar sakte hai.
  • Include videos option ko enable kar denge to backup uploading me whatsapp videos bhi google drive par upload hona start ho jayengi.

Chat history

Iss option par click karke aap whatsapp ki chat history ko manage kar sakte hai chat history option par click karte hi kuch aur options aayenge to inme.

  • Export chat option par click karke aap kisi bhi friend ki chat select karke usse export kar sakte hai aur kahi par bhi save karke rakh sakte hai.
  • Archive all chats option ke through aap apni chat list se sabhi chats ko ek sath archive kar sakte hai.
  • Clear all chats option par click karke aap sabhi chats ko clear kar sakte hai sabhi chats ki media ko delete kar sakte hai.
  • Delete all chats option par click karke aap apni chat list se sabhi friends ki chat ko remove kar sakte hai.

Iss tarah se aap whatsapp chats feature ko apne according manage kar sakte hai chats feature ki all settings ko apne according customize karke use kar sakte hai.

I hope aapko whatsapp chats feature ki puri jankari pata chal gayi hogi, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)

  • This was an excellent blog. Thank you for sharing, and please update this page with more information.