X
    Categories: WHATSAPP

WhatsApp Ki Full Privacy Settings Sikhe 2022 Me

WhatsApp ki full privacy settings ki jankari iss post me mein aapke sath share kar raha hu agar aap whatsapp user hai to aapko whatsapp ki all privacy features ki jankari jarur honi chahiye aur agar aap whatsapp all privacy settings aur features ko apne according customize karke use karne ke bare me nahi janate hai to iss post me aap sikh jayenge.

WhatsApp apne users ko kai sare privacy features provide karta hai jinke through users apni whatsapp privacy ko maintain karke rakh sakte hai aur apni online activity ko bhi apne according public or private kar sakte hai agar aap whatsapp ki all privacy settings ko apne according manage karna nahi janate to iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.

WhatsApp Ki Full Privacy Settings Sikhe 2022 Me

1 WhatsApp ki privacy settings me Jane ke liye sabse pehle WhatsApp open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 dots par click karke Settings option par click kare.

3 Ab next interface me Account option par click kare.

4 Account setting me Privacy option par click kare.

Ab aapke samne whatsapp ki privacy setting ke sabhi alag alag features aa jayenge to inhe aap kaise customize kar sakte hai chaliye one by one karke janate hai.

Last Seen

  • Everyone option agar selected hai to publicly koi sabhi users aapka last seen time dekh sakte hai.
  • My contacts option ko select karne par sirf aapke whatsapp contacts hi aapka last seen dekh sakte hai.
  • Nobody option ko select karne par koi bhi user aapka last seen time nahi dekh payega.

Profile photo

  • Everyone option selected hai to sabhi users aapki whatsapp profile picture easily dekh sakte hai.
  • My contacts option ko select karne par sirf aapke contacts hi dekh payenge.
  • Nobody option ko select kare agar aap apni profile photo kisi ko bhi show nahi karna chahte hai.

About

  • Everyone option ko select karne par aapka about sabhi users dekh sakte hai.
  • My contacts option select karke aap apna about sirf apne contacts ko hi dikha sakte hai.
  • Nobody option ko select karke aap apna about sabhi users se chupa sakte hai.

Status

  • My contacts option ko agar aap select karte hai to aap jab bhi apna whatsapp status upload karenge usse sirf aapke contacts hi dekh payenge.
  • My contact except option ko select karke apni contact list se aap jitne bhi contacts ko select karenge vo sabhi selected friends aapka status nahi dekh payenge.
  • Only share with option ko select karke apni contact list se jitne bhi contacts ko select karenge sirf vo hi contacts aapka whatsapp status dekh sakenge baki sabhi friends se aapka status hide ho jayega.

Read receipts

  • Read receipts option agar enable hai to aapk kísi bhi friend ka bhej hua message padhenge to uss read message par double blue tick lag jayega.
  • Iske alawa aap kisi ka bhi whatsapp status dekhenge to samne wale ko viewed by section me aapka profile name show ho jayega.
  • Agar aap read receipts option ko disable kar dete hai to aapke jis bhi message ko read karenge uspar double blue tick nahi lagega aur samne wale ko pata nahi chalega ki aapne uska message padha hai ya nahi.
  • Thik issi prakar se agar aap kisi ka bhi whatsapp status dekhenge to samne wale ko viewed by section me aapka profile name show nahi hoga aur usse pata nahi chal payega ki aapne status dekha ya nahi.
  • Lekin iske sath hi aap bhi apne sent messages par double blue tick nahi dekh payenge aur agar koi aapka status dekhta hai to ap bhi viewed by section me kisi ka bhi profile name nahi dekh payenge.

Default message timer

  • 24 hours option ko agar aap select karte hai to kisi bhi new chat (jiske sath aapne pehle kabhi chat nahi ki) me bheja gaya aapka message 24 hours ke baad automatically delete ho jayega.
  • 7 days option ko select karne par 7 dino me hi sent message disappear hoga.
  • 90 days option select karne par new chat me bheja aapka message 90 dino ke baad auto disappear ho jayega.
  • Off option ko select karne par aap auto disappearing feature ko disable kar sakte hai.

Groups

  • Everyone option select karne par koi bhi user whatsapp group create karke usme aapko add kar sakta hai
  • My contacts option select karne par sirf aapke whatsapp contacts hi group banakar aapko add kar payenge.
  • My contact except option ko select karke aap apni contact list se jitne bhi contacts ko select karenge vo aapko koi bhi group banakar usme add nahi kar payenge.

Live location

Live location me aap unn sabhi locations ko dekh sakte hai jo aapne apne kisi friend ke sath chat me share ki hogi ya aapke kisi friend ne apne location aapko share ki hogi.

Agar kisi ko aapne apni current location share nahi ki hai ya kisi friend ne aapko apni current location nahi bheji hai to aapko yahapar blank page hi show hoga.

Blocked contacts

Iss option par click karke aap unn sabhi contacts ko dekh sakte hai jinko aapne whatsapp par block kiya hoga.

Aur kisi bhi blocked contact par click karke aap usse wapas unblock kar sakte hai ya fir top right corner me contact icon par click karke kisi bhi contact ko iss block list me add kar sakte hai.

Fingerprint lock

Agar aap apne whatsapp par fingerprint lock lagana chahte hai to niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle Fingerprint lock option par click kare.

2 Ab next interface me Unlock with fingerprint option par click kare.

3 Iske baad apne Phone ki settings open kare.

4 Phone ki settings me Password and biometrics option par click kare.

5 Iske baad next interface me Add fingerprint option par click kare.

6 Ab next interface me apna Fingerprint sakhi se add kare.

7 Fingerprint add ho jane ke baad finally Done option par click kare.

8 Ab wapas whatsapp me aaye aur Unlock with fingerprint option ko enable kar dijiye.

Iske baad jab bhi aap apna whatsapp open karenge to fingerprint se unlock karne ka option aayega aur jab tak aap fingerprint se unlock nahi kar dete tab tak aapka WhatsApp open nahi hoga isse aapke whatsapp account ki security aur bhi jyada strong hi jayegi.

I hope ab aap whatsapp ki full privacy settings aur features ke bare me acche se samjhe gaye honge agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More