BLOGGERWORDPRESS

Website Ko Without WWW. Ke Kaise Set Kare

Pichli posts me hum jaan gaye hai ki blogger me blog kaise banate hai. Aur apne blog ko domain se connect karne ke liye godaddy se domain name register kaise karte hai. Ab aage ki process me mein aapko bataunga ki apni website ko without www. ke kaise set karte hai.

Blog Ya Website Ko Without WWW. Ke Set Kyu Kare

Blogger me humare blog ka address abc.blogspot.com kuch iss tarah se hota hai, aur domain register karne ke baad ye www.abc.com ho sakta hai, ye to aap janate hi honge.

Domain register karne ke baad jab hum website ko open karte hai to ye bina www. ke open nahi hoti hai, aur error show hota hai. Aur jab hum website ke aage www. lagate hai, to hi humara blog open hota hai.

Agar aapne apni website ka name apne kisi friend ya janane wale ko bataya aur vo www. lagaye bina aapki website open karta hai, to usse error show hoga aur phir aapko usse batana padega ki iske aage www. bhi lagana hai uske baad hi website open hogi.

Lekin short domain hamesha accha hota hai, aur isliye humari website aisi honi chahiye jo bina www. ke bhi open ho sake aur www. ke sath bhi, lekin apni website ko without www ke set karne ke liye aapko apne domain registered site pe jakar isski kuchh setting karni hogi.

Godaddy domain registration ke bare me humne aapko pehle bhi bataya hai, isliye aaj hum aapko batayenge ki godaddy site me without www. ke setting kaise change karte hai, Sabhi domain provider sites me lagbhag same setting hoti hai.

Website Ko Without WWW. Ke Kaise Set Kare

Domain name ko without www ke kaise set karte hai, ye janane ke liye niche diye gaye steps ko folow kare. Aur apni website ko bina www. ke set kare.

Step 1

Sabse pehle apni domain registered site godaddy me login kare, aur apne domain name me jaye.

without www

without www

  1. DNS zone file me jaye.
  2. Add record ke link par click kare.

 

Step 2

Ab ek popup window open hogi, isme record type me A (Host) select kare.

without www

 

  1. Record type: A (Host) select kare.
  2. Host: me @ sign enter kare.
  3. Points to: me niche diye gaye 4 IP address me se koi bhi ek enter kare.
    • 216.239.32.21
    • 216.239.34.21
    • 216.239.36.21
    • 216.239.38.21
  4. TTL: me 1 hour rehne dijiye.
  5. Finish button par click kare.

 

 

Step 3

Finish ki button par click karte hi iss setting ko save karne ka option aayega, yaha par Save Changes par click kare.

without www

 

 

Step 4

Godaddy domain me setting complete hone ke baad, ab apne blogger dashboard me login kare.

without www

  1. Settings me jaye.
  2. Basic par click kare.
  3. Blog url ke samne edit link par click kare, aur redirect ke tick box me tick kar dijiye.
  4. Save ki button par click kare.

 

Save button par click karte hi aapki problem solve ho gayi hai, ab aap without www. ke bhi apni website ko open kar sakte hai.

I Hope bina www. ke apni website kaise set karte hai, ab aap samajh gaye hong, phir bhi ko saval ho to aap comment karke puch sakte hai, hume reply karne me khushi hogi. Aur agar aapko ye post helpful lagi ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.