Hello friends, aaj hum aapko ek aisa simple aur useful tarika batayenge, jiski help se se aap kisi other website ka font size aur font style ka pata kar sakte hai, to chaliye janate hai ki kisi dusri website ka font kaise check kare.
Agar aapko kisi website ka font accha lage aur aap uss font ko apne blog me use karna chahte hai, to sabse pehle aapko ye pata hona chahiye ki uss blog par kaun sa font use kiya ja raha hai.
Aur ek baar hume ye pata lag jaye ki kaun si website par kaun se font ka use ho raha hai, to usse hum apne blog par aasani se use kar sakte hai.
Kisi dusri website ka font janane ke liye sabse pehle apne chrome browser par whatfont tool install karna hoga.
Aur whatfont tool sirf chrome browser par hi available hai, to chaliye step by step janate hai kya karna hai.
Whatfont Tool Se Kisi Dusri Website Ka Font Kaise Check Kare
??Computer Par Whatsapp Chalane Ki Simple Trick
Step 1
Sabse pehle apne computer me chrome browser ko open kare.
- Browser ke top rightside me dropdown tab par click kare.
- More tools par click kare.
- Extensions par click kare.
??Hostgator Par Hosting Renew Kaise Kare
Step 2
Ab chrome extention page open hoga, isme bottom side me Get more extensions ki link par click kare.
??Blog Ki Traffic Increase Karne Ki 8 Popular Tricks
Step 3
Ab agla page chrome web store ka open hoga.
- Search box me WhatFont type kar search kare.
- Ab whatfont install karne ke liye Add to chrome button par click kare.
Ab aapko chrome browser me top righside me address bar ke thik aage whatfont icon show hoga, jiska matlab hai ki whatfont extension installed ho gaya hai, image dekhe.
??Blogger Blog Par Facebook Group Banner Kaise Add Kare
Step 4
Ab jiss website ke font ko check karna chahte hai usse open kare.
- Top rightside me whatfont icon par click kare.
- Ab website ke jiss content ka font check karna hai, uspar click karenge to aapko black popup me font detail show hogi.
Ummeed hai aapko ye jaankari pasand aayi hogi, agar aapka koi saval hai to comment ke through humse puch sakte hai, aur iss post ko apne dosto ke sath share karna na bhule.
View Comments (5)
Very good sir Kbse mujhe apke site ka font pta krna tha aaj pta chl gya thanks. Ab user ko asani se pta chl jayega.
Mobile Se Nahi Pata Chalega Sir
mobile me internet browser ko desktop view se open kijiye ho jayega.
thanks sir very helpful article for me
Welcome