X
    Categories: YOU TUBE

Youtube Videos Ko Offline Kaise Dekhe Watch Youtube Videos Offline

Friends, aaj ka humara topic hai ki android mobile me offline videos kaise dekhte hai. Bina internet connection ke aap youtube par videos nahi dekh sakte hai ye aap acchi tarah se janate honge. Lekin videos ko offline save karke baad me without data connection ke youtube offline video dekh sakte hai.

Agar aap nahi janate to aaj ke iss article me mein aapko bataunga ki kis tarah se aap offline youtube videos ko dekh sakte hai (how to watch youtube videos offline). To chaliye start karte hai ki iske liye iske liye apne mobile ki youtube app me aapko kya karna hai.

Youtube Videos Ko Offline Kaise Dekhe Watch Youtube Videos Offline

Step 1

Sabse pehle apne anroid mobile me youtube application open kare. Jis video ko youtube offline mode me download karna chahte hai uske thik niche right side me dropdown icon (3 dots) par click kare.

 

 

 

Step 2

Dropdown par click karte hi aapke samne kuch option open honge. Isme save offline option par click kare.

 

 

 

Step 3

Ab video ko offline save karne ke liye ek popup open hoga. Jisse aapki select ki gayi video ko youtube me offline save karke rakh sakte hai.

  1. Video ka size aur pixels select kare, low or medium kisi ek tick box me click kare.
  2. Size select karne ke baad OK button par click kar dijiye.

 

Lijiye ho gaya ab aapki video download hona start ho jayegi. Video download hone ke baad aap kabhi bhi iss video ko bina kisi internet connection ke offline dekh sakte hai. Issi tarike se aap dusri videos ko bhi youtube me offline save karke rakh sakte hai.

 

So friends, how to watch youtube videos offline on android mobile phone ab aap samajh hi gaye honge. Phir bhi aapka koi saval ho to comment ke through humse puch sakte hai. Mujhe khushi hogi aapko reply karne me. Agar aapka koi suggession ho hinglish help ke liye to vo bhi humare sath share kare. Aur aakhir me aapse ek request karna chahunga ki agar ye post acchi lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More