Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare In Hindi
Election commission of india dwara jaari kiya gaya voter id card aapka pehchan patra hai. Election ke time ye humari identity proof hota hai aur isko issue karne ka main purpose bhi yahi tha. Voter id card aur bhi bahut se work ke liye identity proof ke liye use hota hai. Isliye isme di gayi detail ka sahi hona bahut jaruri hai. Agar koi galat information card me hai to aap usme online sudhar kar sakte hai. Agar aap nahi janate ki voter id card me online correction kaise karte hai, to iss post ko dhanyn se padhe.
Aapko naya sim card kharidna hai, government documents submit karna ho ya passport banwana hai. Inn sabhi kaamo me identify proof ke liye voter id card ka use hota hai. Isliye voter card (matdata pehchan patra) ki kya importance hai, ye aap acchi tarah se janate honge.
Agar aapko nahi pata ki voter id card me apna name, address, age kaise change karte hai. Ya phir aap nahi janate ki voter id card me gender, photograph, card number or mother/father name kaise change karte hai. To iski jaankari mein aapko iss article me batane jaa raha hu.
Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare
Matdata pehchan patra (voter id card) me koi bhi badlav karna bahut simple hai. Apne voter card ki koi bhi jaankari change karne ke liye niche diye steps ko follow kare.
Step 1
Sabse pehle online voter registration ki official site par jaye. Iske liye National Voters Services Portal ke iss link par click kare. Thoda scroll down kare aur Correction of entries in electoral roll tab par click kare.
Step 2
Ab agle page me aapke samne kuch options open honge. Jisme voter id card ke liye 5 alag alag form type dekh sakte hai. Iske samne form description me kaunsa form kisliye hai iski detail di gayi hai. Voter id card se related form kis tarike se bharna hai, form filling instruction me pdf file ko open karke dekh sakte hai.
Election voter id card (matdata card) card me badlav karne ke liye 4th option Form 8 par click kare.
Step 3
Form 8 par click karte hi ek form open hoga, Isme voter id card me change karne se related sabhi jaruri jaankari bhare. Form bharne se pehle apna voter id card apne paas rakh lijiye.
- Apna electoral registration state select kare.
- Constituency select kare.
- Apna pura name bhare.
- Electoral roll ka part number aur uss part ka seriel number enter kare. Inn dono numbers ki detail aapko election commission ki official website me milegi.
- Apna gender select kare.
- Current year ki 1 january ko aapki age kya hai, Iske liye year aur month select kare.
- Agar aapko apni date of birth yaad hai to yaha bhare. Aur 1 january ko aapki age kya hai isse ignore kar dijiye.
- Father’s/Mother’s/Husband’s kisi ek ka pura name enter kare.
- Father’s/Mother’s/Husband’s me jiss name ko bhara hai, unse reletion select kare.
Thoda scroll down kare aur niche di gayi detail bhare.
- Apna pura residence address bhare.
- Eletoral photo identiry card (photo pehchan patra) ki detail bhare.
- Supporting documents upload kare.
- Name, address, age, card number, gender, photograph. Ya mother father name change karne ke liye related tick box me tick kare.
- Apna place, mobile number, email id aur date enter kare.
- Submit button par click kar dijiye.
Lijiye submit button par click karte hi aapka form submit ho jayega. Voter id card me changes update hote hi aapki email id or phone number par notification bhej diya jayega. Track application status par click karke voter id card me changes ki jaankari kisi bhi time check kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe
- Advance Excel Ki Jaankari Hindi Me
- Adobe Photoshop Ki Jaankari Hindi Tutorial
- Online Paise Kaise Kamaye
- Facebook Ki Jaankari
- Twitter Ke Bare me Jane
- Youtube Ki Jaankari
I hope, aap samajh gaye honge ki voter id card me online correction kaise kiya jata hai. Phir bhi aapko koi saval ho to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye jaankari helpful lage to isse social media me share jarur kare.
Sir muze votercard m address change karwana hai aur vartamaan m jo add chal rahe h uska mere paas koi proof nahi h kya karu. Plz help
online correction ke liye aapko apne purane card ki detail submit karni hai, new update ke liye 2-3 weeks me verification hogi jisme aap pan card, dl etc submit kar sakte hai.
Online pe apply karne ke baad kaise voter card mere hath me ayaga?
verification process complete hone ke baad voter card aapke address par bhej diya jayega.
hello bro ydi mera voter id approve ho jayega to mera id kha aayega kya diye huye pate par post dwaraa aayega or yadi post office me aayega to kitne dino me aayega
pls jaldi btaiyega ok thanks
voter card aapke diye address par 30-40 dino me aa jayega
Sir… Photo & document upload nahi le raha hai kaise karey
documents scane kare ya unki jpg file banaye fir upload kijiye.
Kya ham pancard ke bare me jankari le sakte hain yaha?
pan card ke liye niche link me jayiye.
https://www.tin-nsdl.com/
Voter id card kya ek hi baar banataa hai
ji ha ye to sabhi janate hai
Sir 3 step me voter id par likhe hue name aur address submit karna h ya Jo sahi karwana h wo wala submit kare
voter id card me jo name aur address hai usse submit kare
mere voter id me meri surname gujarati me galat he to me gujrati me surname change kese karu isme gujrati ka option hi nahi he
iske liye aap ceo.gujrat.gov.in ki site par jaye aur registration kar lijiye, uske baad aap jo bhi correction karna chahte hai vo gujrati me kar sakte ho.
mene gujrati ke correction kr liya ab election muje kese milega
aapko changes update ke liye mail aayega, tab tak wait kijiye
mene ceo.gujrat.gov.in me registration ke correction kr liya or correction ki print nikal li he to me vo correction form ceo ki ffice jama karvana hoga
nahi aap email ya sms ka wait kijiye election commission change update hone ke kuch dino ke baad aapke postal address par voter card send kar dega.
23 Aug 2017 ko form 8 submit kiya tha to kitna time lag sakta gain new updation main ?
iss process me aprx 1 month to 1.5 month lagta hai.
Sir ! Maine form (8) 23 Aug 2017 KO submit kiya tha to correction hone k baad humko new voter id card milega yaa humko voter office se new voter id card nikalwana padega ?
iske liye aapko apne nearest voter card office jakar nikalwana hai
Sir Maine form (8) 23 Aug 2017 KO kiya tha ab uska track status check kar tha Hu to kuch bhi show of nahi Ho tha hai kya karein ?
Pehle aa rha tha ab nahi aa rha hai
aap ek do din ke baad fir se check kijiye, kyuki aisi problems server down hone other technical issue ki vajah se aati hai.
Sir apne reference no se kaise pata lagega ki apka voter id ban gya h
iski liye aap website me jaye aur track application status link me jakar check kare.
Identity card me correction K baad online status kese pata Kare. K corrections hua ya nai.
Post me mention kiya hai aap dekh sakte hai