ANDROID

Voter ID Card Kaise Download Kare

How to download e voter id card online yani ki online voter id card kaise download kare iss post me hum janenge so agar aapne new voter card banaya hai ya fir aapka bahut pehle se voter id card bana hua hai aur new format me apna voter card download karna chahte hai to iss post me aapko e voter card download karne ki puri jankari mil jayegi.

Agar aapka voter card kho gaya hai aur aapko apna epic number yaad hai to aap direct apne voter id card ko download kar sakte hai lekin agar aap apne voter card ka epic number bhool gaye hai to aise me apne e voter card ko download karne ke liye aapko kya karna hai chaliye step by step iss post me janate hai.

Voter ID Card Kaise Download Kare

1 Sabse pehle ECI ki official site open kare.

2 Iske baad top side me Sign up option par click karke ECI me signup kare.

3 Signup karne ke baad ek popup open hoga isme Login option par click kare.

  • Iske baad login page me apna Phone number enter kare.
  • Password enter kare.
  • Captcha code enter kare.
  • Request OTP option par click kare.

4 Iske baad apne phone me aaya OTP code enter karke Verify and login option par click kare.

5 Ab next interface me sabse pehle Search in electoral roll option par click kare.

6 Iske baad next interface me Search in mobile option par click kare.

  • Iske baad State dropdown par click karke apna state select kare.
  • Ab Select language dropdown par click karke language select kare.
  • Iske baad Mobile number ki field me apna mobile number enter kare.
  • Ab yahapar diya Captcha code enter kare.
  • Iske baad Send OTP option par click kare.
  • Ab apne mobile me aaya OTP code enter kare.
  • OTP enter karne ke baad Search option par click kare.

7 Iske baad aapke voter card ki detail fetch ho jayegi yahapar apna Epic number dekh lein ya copy kare.

8 Epic number copy karne ke baad back aayen aur E-epic download option par click kare.

  • Enter epic no ke box me apne copied epic number paste kare.
  • Select state dropdown par click karke apna state select kare.
  • Search option par click kar dijiye.
  • Scroll karke bottom side me aaye aur Send OTP option par click kare.
  • Iske baad apne phone me aaya OTP code enter kare.
  • Finally Verify option par click kar dijiye.

9Iske baad voter card download karne ka option aayega yahapar Download e epic option par click kare.

10 Ab aapka new format wala voter card aapke samne aa jayega yahapar-

  • Top right corner me 3 dots par click kare.
  • Download option par click karke voter card ko download kar lein.

Iske baad aapka e voter id card aapki mobile gallery me download ho jayega aur ab aap iska printout nikal sakte hai aur naya card create kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki online e voter id card download kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Voter ID Card Kaise Download Kare

  • Is information ka use kr ke ab m bhi apna voter id card bnva lunga, shukriya

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.