X
    Categories: TWITTER

Twitter X Ki Watch History Kaise Dekhe

Twitter x ki watch history kaise dekhe iss post me hum janenge so agar aap apne twitter x account ki all watch history dekhna chahte hai aur nahi janate ki x twitter ki watch history kaise dekhte hai to iss post me jo trick mein aapko bata raha hu iske through aap easily x account ki watch history dekh sakte hai.

Halanki twitter x par aisa koi option nahi hai jiske through twitter x account ki watch activity ko dekh sake lekin ek aisa tarika hai jisko use karke aap apni all twitter x activity ko download karke dekkh sakte hai, x twitter ki watch history dekhne ke liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Twitter X Ki Watch History Kaise Dekhe

1 Sabse pehle apna Twitter x app open kare.

2 Iske baad top left corner me apne Profile icon par click kare.

3 Iske baad Settings and support option par click kare.

  • Settings and privacy option par click kare.

4 Ab twitter x ki settings me Your account option par click kare.

5 Iske baad Download an archive of your data option par click kare.

6 Ab apne twitter x accout ka Password enter karke Next option par click kare.

7 Iske baad Email or Text message option par click kare.

8 Apni email ya text message me aaye OTP code ko enter karke Next option par click kare.

9 Iske baad Request archive option par click kar dijiye.

Request archive option par click karte hi aapki request submit ho jayegi aur 24 se 48 hours ke baad jab aapke twitter x ka all data collect hokar zip file ban jayegi to aapko twitter x me in app notification mil jayega.

Iss process me isse bhi jyada time lag sakta hai, jitna jyada aapka x account ka data hoga unki zip file ban ne me utna hi jyada time lag sakta hai.

Twitter x par notification milne ke baad aap apne all twitter x data ki zip file ko download kar sakte hai aur apni all watch history ke sath sath other activity ko uss zip file me dekh sakte.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki twitter x ki watch history kaise dekhte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More