X
    Categories: TWITTER

Twitter X Account Kaise Banaye 2024 Me

How to create twitter x account yani ki twitter x account kaise banaye iss post me hum janenge so agar aap x account create karna chahte hai aur nahi janate ki x account kaise banate hai to iss post me aapko twitter account create karne ki puri step by step jankari mil jayegi.

Twitter ka name change hokar x ho gaya hai lekin abhi bhi bahut se users aise hai jo x par account banane ke bare me nahi janate hai, agar aapko bhi twitter x platform par account create karna nahi aata hai to iske liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Twitter X Account Kaise Banaye 2024 Me

1 Sabse pehle Playstore open karke Twitter x app install kare.

2 Install karne ke baad X ko open kare.

3 Iske baad next interface me 2 option aayenge inme:-

  • Continue with google option par click karke aap apne google account ke through x par signup kar sakte hai.
  • Create account option par click kare agar google ke through login nahi karna hai.

4 Ab new x account create karne ka option aayega yahapar:-

  • Name ki field me apna pura name enter kare.
  • Phone number or email ki field me apna 10 digits ka mobile number enter kare.
  • Agar phone number ki jagah par email ke through account create karna hai to Use email instead option par click kare.
  • Iske baad apni Email id enter kare.
  • Date of birth ki field me apni birth date, month or birth year select kare.
  • Iske baad Next option par click kar dijiye.

5 Iske baad code enter karne ka option aayega yahapar apni email me aaya hua OTP code enter karke Next option par click kare.

6 Ab next interface me New password set kare aur fir Sign up option par click kar diijiye.

7 Iske baad next interface me Upload option par click karke apni Profile photo upload karke Next option par click kare.

8 Ab next interface me aapka x username create ho jayega, agar aap apne according naya username rakhna chahte hai to yahapar Username ki field me apna New username enter kare aur fir Next option par click kar dijiye.

9 Iske baad next interface me contact syncing ka option aayenga yahapar Continue option par click kare.

10 Ab ek popup open hoga isme Allow option par click karke apne contacts ka access dein.

11 Iske baad aapke contacts jo x use karte hai unke follow suggession aayegi inme se kisi bhi contact ko Follow kare otherwise Next option par click kare.

12 Ab next interface me apni Language select karke Next option par click kare.

13 Iske baad celebrity or famous persons ke account ko follow karne ka option aayega inme se kam se kam 1 account ko follow karke Next option par click kare.

Iske baad aapka twitter x account create ho jayega aur x ka home page open ho jayega, yahapar scroll karke aap alag alag x users ki post or tweet dekh sakte hai, other users ki post ko like share kar sakte hai, retweet kar sakte hai.

Bottom right corner me plus icon par click karke aap twitter x par koi photo video share kar sakte hai, koi message tweet kar sakte hai, x par live video share kar sakte hai.

Iske alawa top left corner me apne profile icon par click karkje aap x ki settings ko manage kar sakte hai, apne profile ko customize kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki twitter x account create kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More
Related Post