X
    Categories: TWITTER

Twitter Se Paise Kaise Kamaye Make Money Online

Twitter ke bare me aap janate hi honge. Facebook or  google ki tarah ye ek popular online social networking site hai. Isme hum ek bar me 140 characters se jyada post nahi kar sakte hai. Twitter kya hai aur twitter par account kaise banate hai, ye to hum pichli post me jaan gaye hai. Iss post me mein aapko bataunga ki twitter se paise kaise kamaye.

Twitter ka use har tarah ka vyakti karta hai, chahte aam ho ya khaas. Iss platform ka use lagbhag har field se jude huye log karte hai. Koi film star ho ya politician sabhi apne hisab se twitter ka istemal karte hai. Jaise politicians apni political campaigning ke liye aur film celebrities apni film ki promtoin ke liye twitter ka use karte hai. Yahi nahi bade bade business man bhi twitter par apne products ko promote karte hai.

Twitter Se Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye

Agar aap twitter se earning karna chahte hai to iske liye aapke acche khase followers hone chahiye. Aur agar aap ek influencer hai to niche diye do tariko se aap twitter se income kar sakte hai.

Twitter Se Paise Kaise Kamaye

Twitter se paise kamane ke do tariko ke bare me mein aapko batane jaa raha hu. Pehla hai sponsored tweet aur dusra contest on twitter. To chaliye detail me janate hai ki kya karna hai.

Sponsored Tweet Kare (Brand Promotion Se Paise Kamaye)

Sponsored tweet ek best option hai twitter se income karne ke liye. Ab aap soch rahe honge ki sponsored tweet kya hai to mein aapko bata du ki kisi perticular brand ke liye kiya gaya tweet sponsored tweet hota hai. Aapne twitter par aise tweets bhi dekhe honge jisme koi film star ya celebrity kisi perticular brand ko promote karte hai. Jaise ki vo aaj iss hotel me thehre hai, iss airlines me travel kar raha hai. Ya phir vo aajkar iss company ka soap use kar rahe hai etc. Tweet me kisi brand ya company ka name use karna sponsored tweet ho sakta hai. Aur mumkin hai ki inn celebs ko iske badle koi benefit ya paise mil rahe hai.

Issi tarah se aap bhi sponsored tweet karke twitter se paise kama sakte hai. Iske liye aapko sirf kuch sponsores fine karne honge. Ya phir sponsors ko invite karne ke liye apna contact number or email apne twitter description me dal sakte hai.

Contest On Twitter

Prize ke through aap contest me jyada se jyada logo ko jod sakte hai. Twitter par bahut si companies hai jo promotion karna chahti hai. Aap aisi companies ko find kar sakte hai, aur unhe twitter par contest karne ka idea bhi de sakte hai. Jisse total sale ka kuch percentage ya ek fix amount aap pa sakte hai.

I hope, ab aap jaan gaye honge ki twitter se paise kaise kamaye. Agar aapko ye article accha laga ho to isse social media par share kare. Aur agar aapka koi saval ya koi sujhav ho to comment karke jarur bataye.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More