Twitter Account Deactivate Or Delete Kaise Kare
Twitter ek popular social networking site hai, jisme hum 140 characters tak message tweet kar sakte hai. Agar top social networking sites ki baat kare to facebook ke baad twitter ka naam aata hai, aur twitter par account banana bhi bahut aasan hai. Agar aapne twitter me ek se jyada account banaye hai aur unko delete karna chahte hai, to aaj hum aapko batayenge ki twitter account deactivate ya delete kaise karte hai.
Jitna aasaan twitter par account create karna hai, utna hi easy twitter account ko delete karna bhi hai. Agar aap nahi janate hai ki twitter account ko delete kaise karte hai to niche diye easy steps follow kare.
Twitter Account Deactivate Or Delete Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle apne twitter account me login kare.
- Profile image par click kare.
- Settings me click kare.
- Deactivate my account link par click kare.
Step 2
Ab next window me twitter account ko deactivate karne ka ek message show hoga. Message me aap dekh sakte hai ki 30 days ke ander iss account ko reactivate bhi kar sakte hai.
Twitter account ko band karne ke liye deactivate button par click kare.
Step 3
Ab ek popup window open hogi, isme apna twitter password ko enter karna hai.
- Apne twitter account ke password ko re-enter kare.
- Deactivate account button par click kare.
5 Minutes Me Twitter Par Follower Ko Kaise Badhaye
Step 4
Deactivate button par click karte hi aapka twitter account deactivate ho gaya hai. Agar dubara se re-activate karna hai to logging in link par click kare.
Lijiye aapka twitter account 30 dino tak deactivate ho chuka hai, uske baad ye apne aap permanently delete ho jayega. Agar aapko apna twitter account dubara se reactivate karna hai to 30 dino ke ander login kare. Login karne se aapka account phir se active ho jayega.
I hope, aapko twitter account deactivate karne ki ye jaankari pasand aayi hogi, agar iss post se related aapka koi saval hai to comment karke puch sakte hai. Aur iss post ko social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
Mera account band nhi ho raha profile icon or setting me delete option nhi ho raha plzzzzzzzzzzzzzz help me koi asan tarika btaey mujhe samajh nhi a rha kya karu par help me reply fast thank u plzzzzzzzzzzzzzz help ker dijey
setting and privacy me bottom side me deactivate my account option hoga isme jakar apne account ko deactivate kar dijiye aur 30 days tak dubara login mat karna ye apne aap delete ho jayega.
Sir mene twitter par account bnya tha…to uski profile pic google par save ho gyi…jb bhi mai apna naam search krta hu vo aa jati h…please btaye mai delt kese kru..??
iske liye aap google search history aur photos ko delet kare.