BLOGGER

Blogger Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare

Blogger blog ko wordpress par transfer kaise kare iss post me hum janenge, blogging ke liye blogger ek bahut hi popular aur behatreen platform hai, khastaur par new blogger ke liye yeh ek accha option hai kyuki blogger google ki ek free service hai jisme hum free me blog bana sakte hai aur apne articles ko duniya bhar me logo tak pahucha sakte hai.

Lekin agar aapko apne blog se online earning karni hai to wordpress best option hai, aur aaj ki iss post me hum janenge ki blogger blog ko wordpress par transfer karte hai.

Online paise kamane ke liye aur apne blog ki traffic ko increase karne ke liye hume apne blogger blog ko wordpress par transfer karna hoga, aur aaj hum iss post me ye janenge ki blogger ko wordpress par transfer kaise karte hai to chaliye start karte hai.

Blogger Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare

WordPress par transfer karne se pehle aapko do kaam karne hai:-

  1. Domain Register Karna – agar aap online search karenge to bahut se online selling sites aapko mill jayegi, jaha se aap domain register kar sakte hai, aap chahe do domain aur hosting dono hostgator se le sakte hai but me aapko godaddy se domain register ke liye suggest karunga, agar aapka blog blogger par hai to jaldi se domain register kar lijiye.
  2. Hosting Purchase Karna – wordpress par migrate karne ke liye web hosting kharidna sabse jyada important hai, kyuki ye hume online storage provide karata hai aur hum apne wordpress/blog ki sabhi files, images aur data ko hosting par upload karke save kar sakte hai.

To chaliye dosto step by step jaan lete hai ki blogger blog ko wordpress platform par move kaise karte hai.

1 Sabse pehle Blogger me login kare aur dashboard me jaye.

2 Iske baad Settings option par click kare.

3 Iske baad Manage blog section me Back up content option par click kare.

4 Ab ek popup open hoga  isme Download option par click kare.

  • Download option par click karte hi ek xml file download ho jayegi, jisme aapke blog ka backup hoga, apne blogger blog ke backup ko ab aapko wordpress par upload karna hai hai.

5 Ab blogger backup ko import karne ke liye WordPress me login kare.

6 WordPress dashboard me Tools option par click kijiye.

7 Iske baad Import option par click kare.

8 Ab next interface me Blogger par click kare.

9 Iske baad eb popup window open hogi isme install now button par click kare.

10 Ab ek blogger importer plugin download ho jayega, yahapar aapko activate plugin & run importer ki link par click karna hai.

11 Iske baad next interface me Choose file option par click kare.

12 Ab aapki gallery se Blogger backup ki xml file select kare.

13 Iske baad Upload file and import option par click kare.

  • Ab aapka blogger backup wordpress par import hona start ho jayega, backup import process complete hone ke baad aapko wordpress manage karne ke liye author name choose karna hai, aap chahe to new account bana sakte hai otherwise pehle wale author name ko hi select kar sakte hai.
  • Lijiye dosto ab aapka blogger blog wordpress par migrate ho gaya hai, ab ek baar apni sabhi post ko open karke images check kar lijiye kyuki ho sakta hai kuch images miss ho gayi ho agar aisa hua hai to unn images ko phir se set kar lijiye. 

14 Iske baad aapko apne blogger visitors ko wordpress par redirect karna hai, iske liye blogger dashboard > templates > edit html par click kare.

<meta content=’0;url=https://www.hinglishhelp.com’ http-equiv=’refresh’/>

  • Upar diya gaya code <head> tag ke thik niche paste kijiye, isme “hinglishhelp” ki jagah par apni website ka name daliye.
  • Save template par click kare.

So friends, aapke blogger blog migration ke saare steps complete hote hai, ummeed hai aapko ye post helpful lagi hogi, phir bhi koi saval ho to aap comment karke puchh sakte hai. Aur ha iss jaankari ko share karna bilkul na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.