TIKTOK

Tiktok Password Reset Kaise Kare – How to Reset or Change Tiktok Password if Forgotten

Tiktok password reset kaise kare kare aaj iss post me mein aapko bataunga, to agar aap apne tiktok account ka password bhul gaye hai to iss post me bataye tarike se aap easily tiktok password change kar sakte hai.

Tiktok ek popular video sharing site hai aur iss platform par users apne videos create, upload aur share karte hai. Yahapar users ko alag alag video effects advanced features milte hai jinka use karke vo video create kar sakte hai.

Agar aap tiktok user hai to iss platform par kya kya features milte hai aur kya kya facilities milti hai video create karne ke liye aap acchi tarah se janate honge. Hazaro aise users hai jinhe pehle koi nahi janta tha but tiktok ke through vo kafi popular ho chuke hai.

Aksar log apne tiktok ka password bhul jate hai aur nahi janate hai ki tiktok password ko change kaise karte hai. Agar aap bhi unme se ek hai aur apna tiktok password bhul chuke hai to tiktok password recover karne ke liye niche diye easy steps ko follow kare.

Tiktok Password Reset Kaise Kare – How to Reset or Change Tiktok Password if Forgotten

Tiktok password reset karna bahut hi easy hai agar aap apna tiktok account ka password bhul chuke hai to password recovery ke liye niche diye easily steps follow kare.

1 Sabse pehle Tiktok app open kare.

2 Ab login page open hoga isme Get help signing in ke option par click kare.

3 Iske baad ek popup open hoga jisme Email aur Phone number option hoga. Agar aapne email se sign up kiya hai to email select kare otherwise phone se kiya hai to Phone number select kare.

4 Agar aapne phone number se sign up kiya hoga to ab ek popup open hoga isme aapka phone number hoga apne Phone number ko select kare. Agar popup me right phone nahi hai to aap yahapar None of the above ke option par click karke aage ki process follow kar sakte hai.

5 Next interface me aapka phone number coutry code ke sath aayega to yahapar aapko Next ke button par click karna hai.

6 Ab aapke phone number par ek Login code bheja jayega jisse aapko diye gaye boxes me fill karna hai, aur Continue ke option par click karna hai. Agar login code receive nahi hota hai hai to yahapar aap i didn’t receive a code ke option par click karke dubara se code mangwa sakte hai. 

7 Continue par click karte hi code verify ho jayega aur tiktok password reset karne ka option aa jayega. Ab aapko yahapar apna New password enter karna hai aur dubara se verify karna hai aur Right icon par click kar dena hai..

8 Ab Succeed ka ek popup open hoga jisme isme Got it option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya got it par click karte hi aapka tiktok password change ho jayega, ab aap apne new password ke sath apna tiktok account open kar sakte hai.

I hope tiktok password reset or change kaise karte hai aap samajh gaye honge. Agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.