X
    Categories: TIKTOK

Tiktok Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Check Kare – How to Know if Someone Blocked You on Tiktok

Tiktok par aap blocked hai ya nahi kaise check kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aapko tiktok par koi user block kar deta hai to aap iska pata easily kar sakte hai. iske liye bus aapko iss post me bataye gaye methods ko follow karna hai.

Tiktok ek short video sharing site hai aur iss platform par users apni short videos banakar share karte hai. Aur kai users yahapar apni short commedy video share karke kafi popular bhi ho gaye hai.

Smartphones me internet use karne wale mostly users ab iss platfom ka use karne lage hai. Aise me aksar kai users other tiktok users ko block bhi karte rehte hai. Agar aapko bhi kisi user ne block kar diya hai to niche diye methods ka use karke aap iska pata aasani se laga sakte hai.

Tiktok Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Check Kare – How to Know if Someone Blocked You on Tiktok

Agar aapko aisa lagta hai ki tiktok par kisine aapko block kar diya hai to niche diye easy methods ko follow kare.

Method 1: Search User

Aapko jiss user par block karne ka doubt hai usse tiktok par bottom side me diye search option par click karke search kare. Agar uss user ne aapko block kiya hoga to vo search result me nahi aayega. Kyuki block karne wala user blocked hone wale user ke tiktok account par search me nahi aata hai. Isse aapko ek indication mil jayega ki usne aapko block kar diya hai.

Method 2: Check Your Following List

Agar koi aapko tiktok par block kar deta hai to vo aapke account me following list se bhi hide ho jayega. Isliye jiss users par block karne ka doubt hai usse apni following list me check kare.

Method 3: Check Blocker Profile

Jiss users par aapko block karne ka shak hai usne ya fir aapne ek dusre ke videos par likes aur comments kiye honge ya fir direct messages bhi send kiye honge. Unn comments or messages ko open kare aur fir uss user ki profile photo par click kare.

Iske baad uski profile open ho jayegi agar aapko yahapar uss user ke contents show nahi ho rahe hai to iska saaf matlab hai ki usne aapka tiktok account blocked kar diya hai.

Send Follow Request

Ab agar aapko fir bhi doubt hai to yahapar follow button par click karke uss user ko follow request send kare. Jaise hi aap follow button par click karenge aapko ek message show hoga “you can’t follow this account due to this user’s privacy settings“. Agar follow button par click karke ye message aata hai to confirm hai ki uss user ne aapko block kar diye hai.

So iss tarah se aap upar diye inn methods se easily check kar sakte hai ki aap tiktok par blocked hai ya nahi. I hope ab aap samajh hi gaye honge ki tiktok par block hone ka pata kaise karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More