X

Website Ke Liye Terms & Condition Page Kaise Banaye

Website ke liye terms & conditions page kaise banaye iss post me hum janenge, so agar aap apne blog ya website ko professional look dena chahte hai to aapke liye “contact us”, “about us”, “privacy policy”, “terms and condition page” banakar publish karna bahut jaruri hai.

Kyuki inn pages ke madhyam se aap apne visitors ko ye batate hai ki aapki website me kya hai aur unke liye ye safe hai, agar aapki site par ye pages nahi hai to google adsense account bhi approve nahi hoga, isliye bhi website me ye important pages publish karna bahut jaruri ho jata hai.

Website Ke Liye Terms and Condition Page Kaise Banaye

Blogger blog ke liye terms and conditions page create karna bahut hi simple aur aasaan hai, niche diye steps ko follow karke aap easily terms & conditions page generate kar sakte hai.

Step 1

Sabse pehle Termsfeed generator open kare.

  • Generate terms & conditions option par click kare.

 

Step 2

Iske baad General information enter karne ka first step aayega yahapar:

  • Website option ko select kare.
  • Next step option par click kare.

 

Step 3

Iske baad next window me apne Website information bhare.

  1. Apni website ka URL daale.
  2. Website ka naam bhare.
  3. Entity type me apni website ka type select kare.
  4. Apni country ka naam select kare, india daale.
  5. Apne state ka naam bhare.
  6. Next step option par click kare.

Step 4

Ab next disclosures page bhare.

  1. Agar website par kuch sell nahi karte hai to sabhi jagah no option par tick kare.
  2. By email option ko select kare.
  3. Apni email id enter kare.
  4. Next step button par click kare.

Step 5

Iske baad 4th step page aayega.

  1. Apni email id bhare.
  2. Generate option par click kar dijiiye.

Step 6

Ab aapki website ke liye terms and conditions page generate ho jayega.

  • Copy this to clipboard option par click karke html code ko copy kare.

 

Step 7

Iske baad apne wordpress blog me login kare.

  1. WordPress dashboard me pages option par click kare.
  2. Add new page option par click kare.

Step 8

Iske baad page editor open hoga yahapar;

  1. Title ki field me terms and conditions enter kare.
  2. Text tab par click kare.
  3. Copied terms and coditions content past kare.
  4. Finally publish option par click kar dijiye.

 

Lijiye dosto aapki website ka Terms and Condition page ban kar publish ho gaya hai. yeh jaankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye, iske saath hi post informative lagi ho to isse share bhi jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More